Sawal 1:
Mukammal namaz Takbir e Tehrima se salam tak bamaa ahkaam o masail (faraiz, vajebat, sunan, ta’daad rakaat) Quran kareem ki Sarih ayaat ya Sahih Sarih Ghair Muaariz Ahadees se saabit karen.
Sawal 2:
Aap ka imam takbir e Tehrima (namaz ke shuru mein Allah o Akbar kehna) oonche aawaz se kehta hai aur Muqtadi aahista aawaz mein kehte hain. is par Quran kareem ki Sarih ayaat ya Sahih Sarih Ghair Muaariz Ahadees paish karen. Neez agar imam ne taqbir aahista aur Muqtadi ne buland aawaz mein keh di to namaz hogi ya nahi? Quran o Hadees se jawab den .
sawal 3:
Zaid ne Zainab ko teen 3 sharai Talaq di, is ke baad zainab ne Baker se nikah kya, phir Baker ne usay Talaq day di, ab zainab iddat guzaar kar Zaid se nikah kar sakti hai. yeh masla to Quran o Hadees mein hai, lekin agar Baker ne Talaq nahi di balkay zainab ne khula lay liya ya bazarea adalat (Court) nikah faskh karaya to ab zainab iddat guzaar kar Zaid se nikah kar sakti hai ya nahi? suboot mein Quran Kareem ki Sarih aayat ya Sahih Sarih Ghair Muaariz Hadees paish farmaen.
Sawal 4:
Aaj kal kasrat se paish anay walay darj zail masail par Quran Kareem aur Sahih Sarih Ahadees paish farmaayen .
kya khoon dena aur lena jaiz hai?
Rozay ki haalat mein injection lagwanay se roza toot jata hai ya nahi?
kya apna khoon aur aaza (dil, ankhen, gurday waghera) farokht karna jaiz hai? kisi zaroorat mand ko apne aaza Hadia karna jaiz hai? marnay ke baad aaza ke atiyah karne ki wasiyat karna jaiz hai? telephone ya internet par nikah jaiz hai ya nahi ?
Sawal 5:
Koi aik aisi Sahih Sarih Ghair Muaariz Hadees paish karen jis mein aik majlis ki teen talaqon ko aik kaha gaya ho aur is rivayet ka koi Ravi Shiah na ho aur is rivayet ke kisi aik bhi Ravi ka apna fatwa is Hadees ke khilaaf na ho.
Sawal 6:
Khinzeer, sher (lion), cheeta, bheria, bandar, gainda, gidar, lomri waghera darindon ke joothe ka kya hukum hai? pak hai ya napak? Qiyaas kiye baghair har aik ke liye naam banam Quran kareem ya Ahadees Mubarakah se Sarih daleel paish karen. Mandarja baala janwaron ke joothe ke hukum ke ilawa in janwaron ke pishaab, pakhanay, qay, khoon, paseenay waghera ke pak ya napak honay ki naam banam Sarih daleel bhi paish farmaayen .
Sawal 7:
Aap ke nazdeek taqleed shakhsi shirk, najaiz aur haraam hai. jabkay imam Yahya ban Saeed al-Qattan (Hanfi), Imam Bukhari (Shafi), Imam Muslim (Shafi), Imam Ibn e Taimiya (Hanbli), Imam Ibn e Hajr (Shafi), Imam Navavi (Shafi), Imam Zahbi (Shafi) muqallad hain. to Quran o Hadees se in hazraat ka hukum bayan farmayen aur yeh bhi farmayen kay jo in muqallideen ki riwayaat laita hai ya un ki baat par amal karta hai is ka kya hukum hai ?
Sawal 8:
Quran kareem par eirab lagana, , paaray, manzilain yeh tarteeb Nabi Paak (Sallallahu Alaihi wa Sallam) ne qaim nahi farmai balkay yeh tarteeb ummat ne qaim ki hai. is pas manzar mein:
I. mojooda tarteeb ke sath shaya aur parhay jaane walay Quran kareem ka maqbool hona Sarih Daleel se saabit karen .
II. yeh farq saabit karen kay ummat ka tarteeb diya howa Quran kareem to lena jaiz hai aur Fiqah lena najaiz hai .
iii. ummat ke tarteeb diye hue Quran kareem se hifz karne ka jawaz aur namaz mein is ki qiraat ka sahih hona kisi Sarih daleel se saabit karen .
Sawal 9:
Ahl-e-Hadith hazraat ramdhan al mubarak mein yeh umoor anjaam dete hain : 8 rakaat, , apni tamam masajid mein, poora maheena aur poora Quran khatam karte hain. agar yeh 5 panchon cheeze Huzoor (Sallallahu Aleihi Wasallam) se saabit hain to paish farmaayen aur agar saabit nahi to yeh kaam karne walon se mutaliq Quran o sunnat se fatwa sadir farmaayen .
Sawal 10:
Agar kisi namazi ne ne namaz mein subhana rabbi yal Azeem ki jagah subhan rabbi yal aala, ya durood shareef ki jagah dua e Qanoot ya Al-Tahiyaat ki jagah surah Fatiha, ya Allah akbar ki jagah Allah kabeer ya samai Allahu liman Hamida ki jagah Allah akbar keh diya, ya is ke bar aks kardiya to is ki namaz hogi ya nahi? har doo sooraton mein sahih Sarih ghair muaariz Hadees paish farmaayen .
Note :
Ahl e Hadees hazraat ka daawa hai kay hum sirf Quran aur sahih Hadees ko mantay hain, Ijmaa aor Qayas ko nhi mantat. Ye log puri Ummat ko gumrah kehtay hen aor A’imma Mujtahideen ki shan main gustakhi kartay hen aor Ahlus Sunnat awam ko ultay seedhy sawalat se pareshan kartay hen. Hum ne apnay difaa k liye darj baala sawalaat un ki khidmat mein paish kardiye hain aur arz karte hain kay un ke jawabaat sirf aur sirf Quran kareem ki Sarih Aayaat ya Sahih Sarih Ghair Muaariz Ahadees se paish karen. kisi ummati ke qoul ya qiyaas ko paish karkay” shirk” ka irtikaab na karen. yaad rahay kay Hadees ki sahet Gher Muqallideen ko apnay do usoolon yani Quran o Hadees se saabit karna hogi.