Yazeed Paleed

Yazeed Paleed


Yazeed Hazrate Amire Mawaiya Radi’Allaho Ta’Aala Anho ka beta jiski kunniyat Abu Khalid hai Umayyia khandaan wo badbakht insaan hai jiski peshani par nawasaye Rasool Jigar Gushaye batool Hazrate Imame Hussain Radi’Allaho Ta’Aala Anho ke Qatl ka Siyadaag hai jis par Har Jamane me log Malamat Karte rhe hai or rehti duniya tak aise hi malamat karte rahenge ye badbateel or nang khandaan 25 hijri me paida hua uski ma ka naam Mehsun Binte Najdal kalbi hai. Yazeed bahut mota badnuma badkhulk, faaseeqo fajir, sharabi badkaar, jaalim or be’adab or gustakh tha. Uski badkaariya behoodgiya inteha ko pahunch gayi thi Hazrate Abdullah Radi’Allaho Ta’Aala Anho jo hazrate Hanjala Wasilul Malaika (Jinko farishto ne gusl diya tha) ke sahab jaade hai wo farmate hai yazeed par humne us waqt hamle ki tayyari ki jab hum logo ko andesh ho gaya ke us badkariyo ke sabab hum par aasmaan se pattharo ki barish hogi. Isliye ke fisko fujur ka ye aalam tha ke log apni ma, behno or betiyo se nikah kar rhe the, sharaabe pi ja rhi thi wo digar manihaate shariya (wo kaam jinko shariyat ne mana kiya) ka aam tor par riwaj ho gaya tha or logo ne Namaj tak tark kar di thi.
Tarikhul khulfaa Page N. 142
 Yazeed ne Madinaye Tayyiba Makkaye Mukarram ki behorrmati karayi. Aise shaks ki hukoomat garg (bhediya) ki chopani se jyada khatarnak thi. Arbabe farasat or Ashaabe Asraar us waqt se darte the jab ke unhone saltanat (hukoomat ki lagaam) us badbakht ke hath me hai. Aisi liye San hijri 59 me hazrate Abu Huraira Radi’Allaho Ta’Aala Anho ne dua ki ya Rab me teri Panah mangta hoon San hijri 60 ke agaaz or ladko ki hukoomat se.
Is dua se maloom hota hai ke hazrate Abu Huraira Radi’Allaho Ta’Aala Anho jo  hamile Asrar the unhe maloom tha ke san 60 hijri ka Agaaz ladko ki hukoomat or fitno ka waqt hai. Unki ye dua Qaboolhui or unhone san 59 hijri me ba’mukaame Tayyaba me inteqal farmaya.
Sawaneh karbala Page N. 81

Yazeed or Ahadeese Karima wa Aqwaale Ahimma
Rooyani Apni masnad me sahabiye Rasool Hazrate Abu Darda Radi’Allaho Ta’Aala Anho se riwayat karte hai unhone farmaya ke maine Rasoole Akram صلى الله تعالى عليه وسلمko ye irshaad farmate hue suna hai mere sunnat ka pehla badlne wala ek shaks bani umaiyya ka hoga or uska naam yazeed hoga.
Tarikhul khulfaa Page N. 142

Or Abu Yaala apni masnad me Hazrate Abu Ubaida Radi’Allaho Ta’Aala Anho se riwayat karte hai ke Huzoore Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم  irshaadhai pehla rakhna andaz bani umaiyya ka ek shaks hoga jiska naam yazeed hoga.
Tarikhul khulfaa Page N. 142
 Or Allama Sohbaan tehrir farmaate hai ke Imam Ahmad bin Humbal Radi’Allaho Ta’Aala Anho yazeed ke kufr ke Qail hai or tujhe unka farmaan kaafi hai, unka taqwa or ilm is amar ka taqaza karta hai unhone ye baat isliye kahi  hogi ke unke nazdeek Aise umoore sarayhiya (Aise Mamlaat jo khule jahir ho) ka yazeed se shadir hona sabit hoga jo mozeebe kufr hai (Jo kufr ko wazeeb karta hai). Is mamla me ek jamaat ne un ki Muwafaqat ki hai.Maslan Imam Jozi wagairah raha us ka fisq to is par ittefaq hai.Baaz ulmaa ne khas us ke naam se laanat ko jaaiz karar diya hai.
Barkaate Aale Rasool Page N. 155
 Or Hazrat Allama SaAduddin taftazaani Rehmatullahe Ta’Aala Alahe Tehrir Farmaate hai Hazrat Imam Hussain Radi’Allaho Ta’Aala Anho k qatal or Aehle baite nabuwat ki toheen wa tajlil par yazeed ki riza or khushnudi musalsal sabit hai lihaaja hum us k jaat ke bare me tawaqquf nahi karenge (use bura bhala kahenge) Albatta uske imaan ke bare me tawaqquf karenge (Na use kafir kahenge na use momin)
Sharah Aqaaid Nasfi Page N. 117
 Muhaddis ibne Jozi se poocha gaya ki yazeed ko Imam Hussain ka shahid karne wala kehna kis tarah sahi hai. Jab ke wo karbala me shahadat ke waqia ke waqt mulke shaam me tha to unhone ek sher padha jiska tarjuma ye hai ke

Teer Iraaq me tha jab ke teer maarne wala Zeesalam  me tha
Ae Teer maarne wale tera nishana kis gazab ka tha…
Ashraful Mua’bat Page N. 69
Nofil Bin Abu Furaat kehte hai ki me ek roz khalifa Hazrat Umar Bin Abdul Aziz ke paas betha hua tha  ke yazeed ka kuch jikar Aa gaya to ek shaks ne yazeed ko Amirul Mominin yazeed bin Mua’viya kaha Hazrat Umar Bin Abdul Aziz ne us shaks se farmaya ke tu use Amirul Mominin kehta hai fir Aapne hukm diya ke yazeed ko Amirul Mominin kehne wale is shaks ko 20 Kode lagaye jaaye.
Tarikhul khulfa Page. N. 142 
 Hazrat Umar Bin Abdul Aziz Radi’Allaho Ta’Aala Anho Umaiya Khandan k ek fard hai yaani marwaan ke pote or khalifa-e-Abdul Malik bin marwaan ke daamaad hai. Jinke fazlo kamaal taqwa or parhez gari ke bare me sirf itna bata dena kaafi hai ke unko khulfaye Rashideen me se shumar kiya jaata hai. Unhone us shaks ko ke jisne yazeed badbakht ko Amirul Mominin kaha kode lagavye or saja di.
Is waqia se wo log jo aajkal yazeed ki himayat karte hai or usko Amirul Mominin kehte hai sabaq haseel kare or jaan le ki wo yaqeenan saja ke haqdaar hai. Agar aaj bhi koi Hazrat Umar Bin Abdul Aziz Radi’Allaho Ta’Aala Anho jaisa hota to unhe jarur kode lagwaata.

Or Aalahazrat Azimul BarkatAzimul Martabat Mujaddide Dino Millat Parwanaaye shamme Risalat Mere Aaqa-e-naimat Peshwaaye Aehle Sunnat Ashiqe Mahe Nabuwat Aalime Shari’at Rehbare Tarikat Haamiye Sunnat Maahi Mid’at Qataye Najdiyat Ash’sha Imam Ahmad Raza Faazile Barelvi Alhirramato Warrizwaan Tehrir farmaate hai yazeed palid kat’An yaqeena ba’ijmaaye Aehle Sunnat fasiqo fajir wa jarialal kabair is qadar par Ayimma-Aehle Sunnat ka ittabaq-ittefaq hai sirf uski takhfir wa laanat me ikhtalaf farmaya Imam Ahmad Bin Humbal Radi’Allaho Ta’Aala Anho or unke itteba wa mua’fiqeen use kaafir kehte hai or naam le kar us par laanat karte hai. Or aayte karima us par sanad laate hai.
 Tarjuma: “Kya karib hai agar waliye mulk ho to jamin me fasaad karo or apne nasbi rishta kaat do ye wo log jin par Allah ne Laanat Farmayi to unhe behra kar diya or unki Aankhe Fod di”. [Parah 26 Rukua 7]
 Shak nahi ke yazeed ne waliye mulk ho kar jameen me fasaad phelaya harmain tayyebain wa khud kabaye Mu’azzam or rozaye tayyaba ki sakht be’hormatiya ki. Masjid nabvi me ghode baandhe unki lid or peshab mimbare At’har par pade. 3 din masjide nabvi (صلى الله تعالى عليه وسلم)be-azaan namaj rahi makkao madina wa hijaz ne hajaro sahaba wa taba’een be-gunah shahid kiye, kabaye mu’azama pe pathar feke Gilaaf sharif phada or jalaya, Madina tayyaba ki paak daman khwatin 3 shabana roz apne khabis lashkar par halal kardi, Rasollah صلى الله تعالى عليه وسلم ke jigar paare ko 3 din be-Aabo daana rakh kar sathiyo ke sath taige julm se pyaasa jiba kiya, Mustafaصلى الله تعالى عليه وسلم ke pale hue Tane Naazni par baade Shahadat ghode do’daye gaye, ke tamam ishtakhwane Mubarak (Aap ki ba-barkat Haddiya) chhur ho gayi, Sare Anwar ke Muhammad صلى الله تعالى عليه وسلم ka Bosa Gah tha Kaat kar Neja par chadaya or manjilo pheraya, harme mohtaram mukhaddaraat mushkuye Risalat kaid kiye gaye (Aehle Bait ki Paakija tareen khawatin) or be-hurmati ke sath us khabis ke darbar me laaye gaye isse badhkar kat’aaye reham (rishte todna) or jameen me fasaad kya hoga, mal’un (jis par laanat ho) hai wo jo un mal’un harkaat ko fisko fujur na jaane quraane azim me sarahatan (wajeh tor par) us par “Allah ne laanat farmaayi” lihaaja Imam Ahmad or unke mua’fiqeen is par laanat farmaate hai. Or humare Imame Aazam Radi’Allaho Ta’Aala Anho laano takfir se Ahtiyaatan sukoot ke usse fisko fujur mut’watir hai (brabar sabit hai) kufr mut’watir nahi or bahaale ahtamaal nisbate kabira bhi jaaiz nahi na ke takfir or imsaale wa’idaat masrut bagair tauba ke hai or tauba ta’dame gargara maqbool hai or uske adam par jazam nahi or yahi Ahwat or asalm hai magar uske fisko fujur se inkaar karna or Imame mazlum par iljaam rakhna jaruriyate majhabe ahle sunnat ke khilaaf hai or dalalo bad’majhabi saaf nahi balke insaafan ye us dil se tasawwur hi nahi kiya ja sakta jis ke dil me Mustafa صلى الله تعالى عليه وسلم ki muhabbat ho.
Fatwaaye Razviya Sharif Jild. 6 Page. N. 107-108
 Or tehrir farmaate haiYazeed beshak palid tha use palid kehna or likhna jaaiz hai or use Rehmatullah Alahe na kahega magar naasibi ke Aehle Baite Risalat ka dushman hai”
Fatwaaye Razviya Sharif Jild. 6 Page. N. 114.
 Biradarane islam Jalilul qadar ulmaye muhaqqiqeen ke bayanaat se khub achi tarah wajeh ho gaya ki yazeed kaisa tha or usne kaise kaise mazaalim uthaye. Or ye bhi jahir ho gaya hai ki hum use kya keh sakte hai or kya nahi keh sakte hai jo log ke Imamul Aa’imma hazrate Sayyadina Imame Aazam Abu Hanifa Radi’Allaho Ta’Aala Anho ke manne waale hai or apne ap ko hanfi kehte hai unko chahiye ke wo apne Imam ke tarike par chale yaani yazeed ke bare me laano takhfif se Aehtiyatan sukoot ikhtiyar kare ke yahi Aslam hai (Jyada sahi) or jo log uske fasiko fajir hone se inkaar kare or uske liye Amirul Mominin Radi’Allaho Ta’Aala Anho kahe ya Imame mazloom sayyadina Imame Hussain Radi’Allaho Ta’Aala Anho par ilzaam rakkhe aise logo ko gumraah or bad’mazhab, Aehle baite nabuwat ka dusham or kharji samjhe, (yeh ek firqa hai jo Aehle bait ka dushman hai) unka bayan sunnne se parhez kare or unki kitabe padhne se bache.

Hazrate Mulla Ali Qari Radi’Allaho Ta’Aala Anho tehrir farmaate hai ke baaj jahil jo kehte hai ke Imame Hussain ne yazeed se bagawat ki toh ye Aehle Sunnat waljamaa’at ke nazdeek baatil h or is tarah ki boli kharjiyo ke jiyanaat me se hai jo aehle sunnat waljamaa’at se kharij hai.
Sharhe Fiqhe Akbar Page N. 87
Yazeed or Hadeese Qustuntuniya
Yazeed palid jisne masjide nabwi or baitullah sharif ki sakht be’hurmati ki jisne hajaro sahabaye kiraam taba’eene izaam Radi’Allaho Ta’Aala Anhum ka be gunaah qatle Aam kiya, jisne madina tayyaba ki paak daaman khawatin ko apne lashkar par halal kiya or jisne jigar Goshaye Rasool hazrate Imame Hussain Radi’Allaho Ta’Aala Anho ko 3 din be Aabo daana rakh kar pyaasa jiba kiya.

Aise bad’bakht or mardood yazeed ko paidaishi jannati or bakhshe bakhshaye hua sabit karne ke liye aaj kal kuch log Aedi chhoti ka jor laga rhe hai. Aise log chahe apne aap ko sunni kahe ya devbandi lekin haqeeqat me Aehle baite Risalat ke dushman kharji or yazeedi hai us bad’bakht ki himayat me wo log bukhari sharif ki hadees pesh karte hai jo Hadeese Qustuntuniya k naam se yaad ki jaati hai. Un Batil parast yazeediyo ka maqsad yeh hai ke jab yazeed ki bakhshish or us ka jannati hona hadees sharif se sabit hai toh Imam Hussain ka aise shaks ki bait na karna or uske khilaaf Alame (Jhanda) jihaad buland karna bagawat hai or sahare fitna wa fasad ki jimmedari unhi par hai. Naujobillah Min Jalik.

Yazeedi giroh jo hadees pesh karta hai.
“قال النبي صلى الله تعالى عليه وسلم:أول  جيش من أمتي  يغزون مدينة قيصر مغفور لهم”
Tarjuma:Yaani Nabi-E-Akramصلى الله تعالى عليه وسلمne farmaya ke meri ummat ka pehla shaks jo kaisar ke shehar (Qustuntuniya) par hamla karega wo baksha hua hai.
Hawala: Bukhari Jild 1. Page N. 410.
Or Qaisar ke shehar Qustuntuniya par hamlaa karne wala yazeed hai lihaaja wo bakhsha bakhshaya hua paidaishi jannati hai.
Yazeed giroh ki is taqrir ka jawab yeh hai Allah ke Mehboob Huzoor
صلى الله تعالى عليه وسلم ka farmaan haq hai Qaisar ke shehar Qustuntuniya par hamlaa karne wala yazeed hai ye dawaa sahi nahi. Aisi liye ke yazeed ne Qustuntuniya par kab hamlaa kiya us ke baare me 4 aqwaal hai.  San Hijri 49, San Hijri 50, San Hijri 52 or San Hijri 55 dekhiye Kamil Ibne Aseer Jild 3 Page. N. 131, Bidaaya Nihaya Jild 8 Page N. 32 Ayeni Sarahe Bukhari Jild 14. Page. N. 198 or Isaba Jild 1. Page N. 405     

Malum hua ke yazeed San Hijri 49 se San Hijri 55 tak Qustuntuniya ki kisi Jang me sharik hua chahe Sipaa Salaar wo rha ho ya Hazrate Sufiyaan bin of or wo Mamuli Sipayi raha ho. Magar Qustuntuniya par isse pehle hamlaa ho chuka tha jiske sipaa salaar Hazrate Abdur Rahmaan Bin Khalid Bin Walid the. Or unke sath Abu Ayyub Ansari Bhi the Radi’Allaho Ta’Aala Anho. Dekhiye hadees ki muatamad wa mashhoor kitab Abu Daud sharif Page N. 340. Or Hazrate Abdur Rahman Bin Khalid Radi’Allaho Ta’Aala Anho ka Inteqal San Hijri 46 ya San Hijri 47 me hua jaisa ke Bidaya Nihaya Jild 8. Page N. 31, Kaamil Ibne Aseer Jild 3. Page N. 229 or Usdul gabha Jild 3 Page N. 440 me haimalum hua ke aap ka hamlaa Qustuntuniya par 46 hijri ya 47 hijri se pehle hua. Or tarikh ke panne (page) shahid (gawah) hai ke yazeed Qustuntuniya ki ek jang ke alawa kisi me sharik nahi hua. Toh sabit ho gaya ke hazrate Abdur Rehmaan Radi’Allaho Ta’Aala Anho’ ne Qustuntuniya par jo pehla hamlaa kiya tha yazeed us me sharik nahi tha to fir hadees
“أول  جيش من أمتي  يغزون مدينة قيصر مغفور لهم”
me yazeed dakhil nahi or jab wo dakhil nahi to is hadees sharif ki basharat (Khuskhabri) ka bhi wo mushtahiq nahi. Yaad rakkhe Abu Daud Sharif Sahahe Sitta Me se hai Aam Qutub (Books) Tarikh (Books of History) ke muqable me usi ki riwayat ko tarsi di jayegi. Rahi ye baat ke Hazrate Abu Ayyub Ansari Radi’Allaho Ta’Aala Anho ka inteqaal us jang me hua jiska sipe salaar yazeed tha us me koi khaljaan (Kharabi) nahi isi liye ke Qustuntuniya ke pehla hamlaa jo hazrate Abdur Rehmaan ki sarkardagi me hua aap usme sharik rhe or fir baad me jab us lashkar me sharik hue ke jiska sipe salaar yazeed tha. Qustuntuniya me aap ka inteqaal ho gaya is liye ke Qustuntuniya par Mut’Addid (Kahi) baar islami lashkar hamlaa aawar hua hai.

Biradarane Islam agar ye taslim kar liya jaaye ke Qustuntuniya par hamlaa karne walaa jo lashkar tha usme yazeed maujood tha fir bhi ye hargiz nahi sabit hoga ke us ke saare kartut maaf ho gye or wo jannati hai. Isliye ke hadees sharif me ye bhi hai
“ما من مسلمين يلتقيان فيتصافحان الا غفرلهما قبل أن يتفرقا”

Tarjuma: Yaani jab 2 Musalmaan Aaps me Musafa karte hai to Juda hone se pehle un dono Baksh diya jaata hai.
Hawala: Tirmiji Sharif Jild 2 Page N. 97.
Or huzoore Akram صلى الله تعالى عليه وسلمne irshaad farmaya-
من فطر فيه صائما كان له مغفرة لذنوبه
Tarjuma: Jo maahe ramzan me roza daar ko iftaar karaaye us ke gunaaho ke liye magfirat hai.
Hawala: Behaqqi, Miskaat, Page N. 174.

يغفر لامته في اخرليلة في رمضان
Or Sarkar Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلمki hadees ye bhi hai (Roze wagairah ke sabab) Maahe ramzaan ki akhiri raat me is ummat ko baksh diya jaata hai
Hawala: Ahmad, Miskaat, Page N. 174.
 Agar yazeed nawajo ki baat maan li jaaye to in hadeese karima ka ye matlab hoga ke musalman se musafaa karne waale, roza daar ko iftaar karaane waale or mahe ramzan me roja rakhne waale sab bakhse bakhshaye jannati hai. Ab agar wo harmain tayyabain ki be’hurmati kare maaf, kaaba sharif ko khod kar fek de maaf, Masjide Nabwi me galajat daale, hajaro be’gunaaho ko qatal kar daale maaf, yaha tak ke agar Sayyadul Ambiya ke 3 din ka bhuka pyaasa rakh kar jiba kar daale to wo b maaf or jo chahe kare sab maaf Naujobillah Min Jalik.
Biradarane millat agar kisi amle khair se sagira, kabira or agle pichle sab gunah maaf ho jaaye jaisa ke aaj ke yazeediyo ne samjha hai to duniya ka nizam darham barham ho jaayega. Isliye ke ek musalman dusre musalmaan se musafa karega or jo chahega karega. Agar koi use sarjanist karega (Daat-Dapat) to kahega ek musalmaan se musafaa ke sabab humara agla pichla sab gunah maaf ho gaya hai hume kuch na kaho.

Khudaye Azzwajal or gumrahi wa badmajhabi se bachne ki tofiqe rafiq bakhshe Aameen.

NOTE: Uppar Wala Unwaan Khutbaate Muharram Page N. 341 se 348tak  Se Likha Gaya Hai. Jo Faqiye Millat Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Alhirramato Warrizwaan ki tasneef hai