Eid Milad-Un-Nabi ﷺ

Eid Milad-Un-Nabi ﷺ

Pehle Yeh Jaan Ley K Ahle Sunnat K Nazdeek Eid-e-Milaad-Un-Nabi ﷺ Manana Koi Farz Ya Wajib Nahi, Yeh Ek Mustahab Amal Hai, Jo Kare Us Ko Sawab Milega Aur Jo Nahi Kare Us Par Koi Gunaah Nahi. Ab Baat Yeh Aati Hai K Kya islaam Hume'n ijazat Deta Hai Eid-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ki Ya Nahi ? is Ka Jawab Yeh Hai K Quran-o-Hadees Ki Roshni Mein Eid-e-Milaad-Un-Nabi ﷺ Manana Bilkul Jaa'iz Hai. Koi Bhi Dusre Maslak Ka Aalim Aaj Tak Sharayi Daleel Milaad K Haraam Ya Naja'iz Hone K معاذ الله Na Aaj Tak Laa Saka Hai Na La Sakega. Aage Aane Waale Posts Mein Hum Janenge Ki Kis Tarha Eid-e-Milad-un-Nabi ﷺ Manana Jaa'iz Hai Quran-o- Hadees Ki Roshni Mein

12vi Sharif Ki Nisbat Se ان شاءالله عزوجل Ye 12 Topics Jo Neeche Diye Gaye Hai Aur Mazeed Kuch Points Bhi Pesh Karne Ki Koshish Ki Jayengi.

1 - Aaqa-e-Kareem ﷺ Ki Wiladat Kab Huwi ?

2 - Qur'aan-e-Kareem wa Furqan-ul-Hameed Me Allah Azwajal Kya irshaad Farmata Hai ?

3 - Kya Rasool Allah ﷺ Ne Apna Milaad Manaya ? Aur Rasool'Allah ﷺ Ne Apne Milaad K Mutalliq Kya Farmaya ?

4 - Kya Kisi Sahabi Ne Eid Milaad-Un-Nabi ﷺ Manaya Hai ?

5 - Rasool'Allah ﷺ Ki Wiladat Ko Eid Kehna Kaisa ?

6 - Juloos Nikalna Kis Ki Sunnat Hai ?

7 - Jhande Lehrana Kis Ki Sunnat Hai ?

8 - Naat Sharif Padhna Kis Ki Sunnat Hai ?

9 - Milaad Par Kharch Karna Kaisa ?

10 - Shaitan Ki Ruswayi Kyu ?

11 - Shab-e-Qadr Se Bhi Afzal Raat Kuan Si Hai ?

12 - Kis Kis Aimmah-o-Muhadiseen Ne Eid-e-Milaad-Un-Nabi ﷺ Ko Jaa'iz Kaha Hai ?

Aur Kuch Jahilana Aitraaz K Jawaabat Wagairah Bhi Dene Ki Koshish Ki Jayegi