Roze k Makruhaat

Mas'ala:. Jhoot.. Gibat .. Chugli.. Gali Dena.. Behuda Baat Kehna.. Kisi Ko Takleef Dena
Ye Cheeze Waise Bhi Najaiz-o- Haram Hai
Roza Mai Aur Zyada Haram Aur Inki Waja Se Roza Makruh Hota He.

Mas'ala: RozaDaar Ko Bila Uzr Kisi Cheez Ko Chakhna Ya Chabana Makruh He...
Chankhne Ke Liye Uzr Ye He Ke 
Maslan:....Shuhar Bad Mizaaj He Namak Kam-o-Besh Hoga To Uski Narazgi Ka Baa'is Hoga.
To Is Waja Se Chakhne Mai Harj Nahi...
Chabane Ke Liye Ye Uzr He Ke Itna Chota Baccha He Ke Roti Nahi Kha Sakta Aur Koyi Naram Giza Nahi
Jo Use Khilayi Jaye
Na Aur Koyi Be-Roz Aisa He Jo Use Chaba Ker De De 
To Baccha Ko Khilane Ke Liye Roti Wagera Chabana Makruh Nahi He.
( Durre Al-Mukhtar -o- Bahare Shari'at )

Mas'ala:. Chakhne Ke Maanaa Wo Nahi Jo Aaj Kal Bola Jata He Ke Kisi Cheez Ka Maza Maloom Kerne Ke Liye Us Mai Se Thodi Khaliya Ke Aisa Chakhne Se Makruh Hona Kaisa Roza Hi Jata Rahega 
Balke Agar Kaffarah Ke Shara'it Paye Jaye To Kaffarah Bhi Lazim Hoga
Balke Chakhne Se Murad Ye He Ke Zaban Per Rakh Ker Maza Pehchaan Le Aur Use Thook De Us Mai Se Halaq Mai Kuch Na Jane Paye Nahi To Roza Jata Rahega.

Mas'ala:. Muh Mai Thook Ekattha Kerke Nigal Jana Bager Roza Ke Bhi Accha Nahi Aur Roze Mai To Ye Makruh He.
( AalamGiri-o- Bahare Shari'at )

Mas'ala:. Muh Mai Thook Ekattha Kerke Nigal Jana Bager Roza Ke Bhi Accha Nahi Aur Roze Mai To Ye Makruh He.
( AalamGiri-o- Bahare Shari'at )
 Qanoon-E- Shari'at 

Mas'ala:. RozaDaar Ke Liye Kulli Kerne Aur Naak Mai Paani Chadane Mai Mubaliga Karna Bhi Makruh Hai.

Mas'ala:. RozaDaar Ko Ghusl Kerna Ya Thanda Paani Thandak Ke Liye Sar Per Dalna Ya Gila Kapda Oodhna ,Ya Bar Bar Kulli Kerna, Ya Miswak Kerna, Ya Sar Aur Badan Mai Tail Ki Malish Kerna Ya Surma Lagana 
Ya Khushbo Soonghna Makruh Nahi Hai.
( AalamGiri -o- Durre Al-Mukhtar -o- Rudul Al-Muhtar )
 Jannati Zewer