Agar Kisi Wajah Se Ramzan Ka Ya Koi Dosra Roza Toot Gaya. To Us Roza Ki Qaza LAzim Hai.Lekin Bila Uzr Ramzaan Ka Roza Qasdan Kha, Pee KAr Tood Dalne Se Qaza Ke Sath Kaffara Ada Karna Bhi Wajib hai.Roza Tood Dalne Ka Kaffara Ye HAi Ke Ek Ghulaam Ya Loundi Ko Khareed KAr Aazad KAre, Aur NA HO Sake to Lagataar Saath (60) Roze Rahe.Aur Agar Is Ki Bhi Taqat Na ho To, Saath (60) Miskeeno ko Dono Waqt Bahr Bhar Pet(Stomach) Khana Khilaye.KAffarah me Roza Rakhna Ki Surat me Lagataar Roza Rakhna Zaruri Hai.Agar Darmiyaan Me Ek (1) Din Ka Bhi Roza Choot Gaya to Phir se Saath (60) Roze Rakhne PAdenge.
(Rad Al Muhtaar)
Unsaath (59) Rakh Chuka Tha Aur Saathwaan (60th) NA Rakh Saka Beemari Waghaira Kisi Uzr Se To Phir Se Saath (60) Pure Lagataar Rakhe.Pehle Ke Unsaath (59) Beekaar gaye.Albatta Awrat Ko Agar HAiz Aajaye To Haiz Ki wajah Se Jitne Nagha Huwe Ye NAgha Nahi Gine Jayenge Yaani Pehle Ke Roze Aur Haiz Ke BAad wale Roze Dono Mil KAr Saath(60) Ho Jane Se Kaffara Ada Ho Jayega.
(Rad Al Muhtaar wa BAhaar , Aalamgeer Waghaira)
>>>Qanoon e Shariat.