HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAH ANHO KA MUQAM AUR SHAHADAT KI KHABAR PER MUSHTAMIL CHAND AHADEES

Ya Allah tu bhi Hussain se mohabbat ker

HADEES
Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai ke mein ne Rasoolallah Sallallahu alaihe Wasallam ko dekha. Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne hazrat hussain alaihessalam ko uthhaya hua tha aur ye farma rahe thy:
"aey Allah mein is (hussain) se Mohabbat kerta hoon tub hi is se mohabbat ker.
(BUKHARI,MUSLIM, Al'mustadrak al'haakum,177/3)

HADEES
Rasoolallah Sallallahu alaihe Wasallam ne Farmaya:
"Hussain mujh se hai aur mein hussain se hoon, Allah us shakhs se mohabbat kerta hai jo hussain se mohabbat kerta hai.
(Jamiya trimdhi 219/2.)

HADEES
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne hussain bin ali radi Allah anhuma ke baray mein farmaya:
"jis ne is se mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki"
(Al'majum al'kabeer, 3, hadees no 2643.)

 HADEES
Hazrat Ayesha radi Allah anha se rawayat hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"jibrail e ameen ne mujhe khabar di ke ye mera beta hussain mere ba'd muqam e ta'f mein qatal ker diya jaey ga.
(Al'majum al'kabeer,107/3, hadees 2814)

HADEES
Aap ki ummat Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ke is betay hussain ko us sar'zameen per qatal ker de gi jis ko karbala kaha jata hai.
(Al'majum al'kabeer, 109/3, hadees 2819.)

 HADEES
Ummul mo'maneen hazrat ummay salma radi Allah anha se marwi hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Hussain bin Ali ko 60 ad ke akhir mein shaheed ker diya jaey ga.
(Tabrani fil awsat, 190/9)

HADEES
Hazrat abu hurayra radi Allah anho aksar  dua farmaya kerte the:
"aey Allah mein 60 HIJRI ki ibtada aur (ganwwar) larkoon ki hakoomat se teri panah chahta hoon
(Al'sawaiq al'harqa,221).

HADEES
Aal e Muhammad Sallallahu alaihe Wasallam ka aik groh is maidan (karbala) mein shaheed hoga jis per zameen o aasman roeengay.
(Al'khasais al'kubra, 126/2, sar ash'shahadateen, 13)

HADEES
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"jis ne in (Hassan aur hussain) donoon se mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki aur jis ne in donoon se bughaz rakhha us ne mujh se bughaz rakhha.
(Al.bidaya wan'nahaya, vol 8, page 262).

HADEES
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: 
"Hassan aur Hussain Radi Allah Anhuma no'jawanane jannat ke sardar hain.
(Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 263.)