Ziyarat E Quboor

Ziyarat E Quboor

♥ ♥ Hadees-e-Pak ♥ ♥

“Jo apny Walidain ya 1 ki Qabr par har Jumma k din ziarat k liye hazir ho ALLAH usky gunah bakhsh dayga or Maa Baap k 7 bhalai karny wala likh dia jaye ga”
[ NAWADIR UL USOOL P97 H130 ]

Qabr par Phool Daalna Behtar Hai Ke Jab Tak Rahega Tasbih karega aur Maiyat Ka Dil Behlaega.
[ RADDUL-MUHTAR JILD:3 SAFA:184 ]

Also Mentioned In:

{ BUKHARI SHARIF jild 1, KITABUL WUZU, BAB UL AZAB e QABAR, HADEES 169 }
HADEES:
Jo Ba-Niyyate Sawaab Apne Waledain Dono ya ek ki Qabr ki Ziyarat kare, Hajje Makbool ke barabar Sawab Paye, Aur Jo Ba-kasrat Inki Qabr Ki ziyarat Karta ho Fariste Uski Qabr ki (Jab ye fout hoga) Ziyarat ko Aae.
[ KANZUL-UMAL J:16 S:200 H:45536 DarulKutbul-Ilmiya, Bairut ]
Har Sal awlia allah k parda farmane(urs)k din unki mazarat ki ziyarat karna sunnat hai:

Abu hurraira(RA) saad bin abi waqas(ra) mohammed bin ibrahim(ra)ukhba bin omer(ra)se riwayat hai k huzoor(SALLALLAHI ALIHI WASALLAM)har saal shauda e uhad ki mazar par tashrif le jate aur unhe farmate tum par salam ho kuon k tumne sabar kiya. r akhirat ka ghar kaisa achha hai. r ishi tarha abubakar(ra) omer(ra)osman(ra) ali(ra) bhi har sal shauda-e-uhad k mazar-e-mubarak ki ziyarat karte thay

>Sharah al sudoor pg210,
>tafsir jamia al biyan13/ 96,
>ibne kasir2/ 791,
>tafsire kabir19/ 45,

Tabligijamat deobandi r ahle hadis k log kehte hai har sal AwliaAllah ki mazarat ki ziyarat karna shirk / biddat hai.(Ma’zallah)

Allah k nayk bandon ki jagah par jakar duwa mangna nabion ki sunnat hai:

Quran:
Zakaria(Alaihis salaam)ko barso se tamana thi k unhe beta ho r unhone kai bar allah se duwa mangi yaha tak k aap zahif ho chuke thay. jab unhone maryam(ra) ki ibadat ki jagah dekhi k waha be mausam phal ate hai to us waqt unhone waha duwa mangi r aap ki duwa qubol hogayi
( Para 3 al imran 37 39 )

Ahle hadis,tabligi jamat k log kehte hai allah k nayk bandon ki jagag par jakar duwa mangna shirk hai.-Ma’azallah

Huzur behtar Jante hai ki Musalmaan Qabro par jaa ke kya karenge. Agar Shirk w Haraam ka Dar hota to Huzur hargiz Ijazat na dete.

– Musalmaanon par Shirk Ke fatwe Laganewale Gour karey.

– Hadees sarif ke mutabik Musalmanon par Shirk Biddat Aur Haram ke fatwe Laganewale Khud MUSHRIK hai.
[Narrated by Ibn Hibban in his Sahih, Tahqiq Nasir Albani, Volume 001, Page No. 200, Hadith Number 81]

√ Wasle Maola Chahte Ho To Wasila Dhundh Lo,
√ Be Wasila Najdiyun HarGiz Khuda Milta Nahi.
♥ MUFTI E AZAM HIND ♥


===============================================

Q.Kya Sahaba Bhi Mazar Par Jaa Kar Dua Maangtey They?

A.Dour e Hazrat Umar Me
Hazrat Bilal Bin Haris AAQA Sallallahu Alaihi Wasallam K
Mazar e Aqdas Par Hazir Ho Kr Arz Ki
Ya Rasoolullah Apki Ummat Par Qehat Aagaya He
To Sarkar Ne (Khuwab Me Aakar) Farmaya K
Umer Ko Ja K Salam Kaho
Aur Kaho
Apne Kaam Ko Aur Behtar Banaye
Tumhe Barish Mil Jayegi
(Musannif Ibne Sheba V12 P#32 H#12051)
(Fatahul Baari V2 P#495)
(Zurqani V8 P#88)


===============================================

aurton ka mazar par jana kaisa
●●► Auliya allah ke mazar par mardon ka jana (Khas kar Urs ke mauke par) aur unke wasile se dua karna ye achchi bat hai. Lekin picnic ki niyyat se jana ya aurto kabeparda saj-dhaj kar jana ya mardo ke bich me jana ya mardo ka un aurto ko dekhte rehna ye sab behayai aur gunah hai. In sab bid'at ki vajah se Gairmazhab aur Badmazhab logo ko AHLE SUNNAT wal jama'at ke amal ko galat batane ka mauka milta hai: »»»► Hazrat Aysha RA ke Daur Me Aurto Ko Roka Gaya Wo Bhi MASJID Me Ane Se! To Kya Aaj k DaurMe Aurto Ko Mana Na Kiya Jae Wo Bhi URS & QABR Par Aane Se? »»»►Hazrat Aaisha RA Frmati Hy- "Agar NABI-E-AKRAM Aaj Ki Khawatin(ki Aara'ish & Zeba'i sh) Dekh Lete To Unhen Usi Tarah Masjid Me Aane Se Mana Kar Dete Jaise Bani'Israeel Ki Khawatin Ko Mana Kar Diya Tha ► SAHIH MUSLIM, JILD-1, HADIS-902 »»»► AALA HAZRAT IMAM AHMAD RAZA KHAN ALAIRIRAHMAT O RIZWAN FARMATE HAIN KI :- »►' Jis Waqt Aurat (Mazar Par Jane K Lye) Ghar Se Irada Karti He La'nat Shuru Hojati He Aur Jab TakWapis Aati He Malaika La'nat Krte Rehte Hen. Siwaye Roza e Rasool K Kisi Mazaar Pr Jane Ki Ijazat Nahi, KWo Zarya e Magfirat He ' »»»► [ Malfuzat E Aala Hazrat P # 240 ]