YAZEED LANTI KAISE HUA?
In ahadith ko parhne aur Sahadat e imam husain ke waqiyat aur madina me hamle ke waqiyat ke ba'd koi insane yazeed ko raheemullah nahe kahega aur na us ko jannati bole ga.
HADEES: 1
MADINA HARAM HAI.
Hazrat Abdullah bin abbas radi Allah anhuma se rawayat hai ke :
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Aey Allah! Mein ne Madina ko isi tarah haram qarar diya hai jis tarah tu ne Makkah Mukarma ko haram banaya hai.
1: Ibn abi shaiba, al'musnaf, 296/7, raqm 36228
2: Abu ya'la, al'musnad, 402/4, raqm 2526
HADEES: 2
Hazrat Abdullah bin Abbas radi Allah anhuma se rawayat hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Her Nabi k liye koi na koi harom hai aur mera harm Madina hai.
1: Ahmad bin humble, al'musnad, 318/1
2: Tabrani, al'majum al'awsat, 356/6, raqm 6607.
3: Ibn juh'd, almusnad,492/1, 3427.
4: Delmi al'firdous, 335/3, raqm 5007.
5: Haithmi, Majmuaz'zawa'id, 301/3.
HADEES: 3
Hazrat jaber bin Abdullah radi Allah anhuma se marwi hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Farmaya:
"Kisi fard(human) ke liye jaiz nhe ke Madina mein larrne ke liye hathiyar utthaey".
1: Ahmad bin humble, al'musnad, 347,393/3
2: Sunnan abu dawood, 216/2, raqm 2035.
: baihaqi, sunnan al'kubra, 201/53
4: shokani, neelal awtaar, 101/5
Hadees: 4
Hazrat Anas Radi Allah Anho farmate hain ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya hai ke:
"Yahan se wahan tak Madina haram hai, na is ke darakhtoon ko kata jaey aur na yahan kisi jurm ka irtakab kiya jaey, lehaza jis shakhs ne yahan koi jurm kiya, us per Allah ta'ala, us ke farishtoon aur tamam Insanoon ki lannat ho.
1: Sahih Bukhair, 601/2, raqm 1768
2: Sahih Muslim, 999/2. raqm 1371
3: Sahih Muslim, 995/2, raqm 1370
4: Ahmad bin Humble, Al'musnad, 526/2, raqm 10816
5: Baihaqi Sunnan Al'kubra, 197/5, raqm 9739
Hadees: 5
Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Jo shakhs is sheher waloon (yanni ahle madina) ke sath burai kerne ka irada kray ga Allah ta'ala ussay (dozakh mein) is tarah phiglaey ga jaisa ke namak pani mein gul jata hai.
1: Sahih Muslim, 1007/2, raqm 1386
2: Sunnan Ibn Majah, 1039/2, raqm 3114
3: Ahmad Bin Humble, Al'musnad, 279/2, 309,357
4: Abdur'Razzaq, Al'musannaf, 264/9, raqm 17155, 17157
5: Sahih Ibn Habban, 54/9, raqm 3737
6: Hameedi, Al'musnad 492/2, raqm 1147
Hadees: 6
Hazrat Jaber radi Allah anho se rawayat hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya;
"Jo ahle madina ko khauf'zada krayga (qayamat ke din) Allah ta'ala ussay khauf'zada krayga.
1: Sahih Ibn Habban, 55/9, raqm 3738
2: Ahmad bin Humble, Almusnad, 55,56/4
3: Nisa'I sunnan al'kubra
4: Abdur Razzaq, al'musnaf
5: Tabrani, majum al'kabeer
Hadees: 7
Hazrat ebada bin saamat radi Allah anho aur Hazrat saaheb bin khalad radi Allah anho se rawayat hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne Allah Rabul izat ki bargah mein arz kiya:
"Aey Allah jo bhi Ahle Madina per zulm kray ya unhain daraey to tu ussay dra. Aur us per Allah ta'ala, Malaika aur tamam logoon ki lannat ho. Us se Allah ta'ala faraiz qabool farmaey ga na nawafol.
1: Tabrani Al'mahjum Al'kabeer, 144/7, raqm 6636
2: Tabrani Al'mahjum Al'osat, 53/4, raqm 3589
3: Delmi, Al'firdous, 505/1, raqm 2067
4: Muqadasi, Al'ahadeesul Mukhtaar, 330/8, raqm 399
5: Mudhari, Al'targheeb Wal'tarheeb, 152/2, raqm 1891
YAZEED KA KIRDAR
In logoon ne madina aa ker ahle madina ke samne yazeed ko sab o shitam krna shuru kiya. Kaha ke ham aik aise shakhs k pass se ho kr aaeye hain jo koi deen he nhe rakhta hai. Sharab peeta hai. Tanboora bajata hai. Us ki sohbat mein gana gane waliyan gana gaya bajaya krti hain. Kuttoon se khailta hai. Lachon aur londion se sohbat rakhta hai. Tum sab log gawa rho. Ham ne ussay khilafat se mazool kiya. Ye sun kr aur sab logoon ne bhi un ki ittabah ki.
(is wafd mein Abdullah bin hanzla ansari ghusail malaika radi Allah anho aur Abdullah bin umroo makhzoomi aur munzar bin zubair aur bahut se log ishraf madina mein se un k sath the.in sab ko inhaam diya gia aur munzar bin zubair ko aik lakh dirham inham diya gia
(Tareekh tabri jild 4 page 252)
Munzar kaha krta tha Wallah yazeed ne aik lakh dirham mujhe diye hain. Us ka ye salook mujhe is baat se nhe rok sakta ke us ka haal tum se na kahoon aur sach sach na bayan kron. Wallah who sharab peeta hai. Aisa mast ho jata hai ke namaz ka bhi hosh nhe rehta
(Tareekh Tabri Jild 4 page 253)
Rawayat hai ke yazeed ganay bajane ke aalaat, sharab noshi kerne, raag alapne, shikar krne, ghulam aur londiyaan banana, kuttay palne, maindhon aur reechhoon aur bandroon ke larrane mein mash'hoor tha, her subah ko wo makhmoor hota aur wo zaindar gorray per bander ko zain se bandhta aur wo ussay chalata aur Bandar ko sone ki topi pehnata aur yehi haal ghulamoon ka tha.
Aur wo gorr dorr krata aur jab koi Bandar mer jata to us per gham kerta.
(al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 298)
Yazeed ganay bajane aur kuttoon bandron aur cheetoon ka dildada aur sharabnosh tha aik roz wo shughal may'noshi ke liye baitha to us ke baeen (left) janib ibn ziyad baitha tha, aur ye hazrat Hussain ke qatal ke ba'd ka waqia hai, wo apne saqi k pass a ker kehne laga
"mujhe wo sharab pila jo meri narm narm hadiyoun ko bhi sairab ker de, phir ibn ziyad ko bhi aisa he jam bher de jo mere nazdeek mera hamraz aur amen hai……………..
Phir us ne singers ko hukam diya ke wo un ash'aar ko gaeen, pas unhoon ne gana shuru ker diya, yazeed ke as'haab yazeed ki tarah bad'kirdar thy aur us ke zamanay mein Makkah aur Madina mein ganay ka dor dora tha.khail kood ke aalat istamal hone lagy aur logoon ne khullay bandoon sharaab noshi shuru ker di, us ke pass aik Bandar tha wo bhi mehfil may'noshi mein mojood hota aur ussay takiya laga ker deta aur wo barra khabees Bandar tha.
(Tareekh E Masodi ,Vol 4, Page 98)
"
AHLE MADINA KA BAIT TORRNE KA SABAB
AHLE MADINA KE BAIT MANSOOKH KERNE KA YE SABAB HUA KE YAZEED NE GUNAHOON MEIN BAHUT HE ZIYADATI SHURU KER DI THI, CHUNANCHAY WAQDI BA'SANAD ABDULLAH BIN HANZLA BIN GHUSEEL RADI ALLAH ANHO RAWAYAT KERTE HAIN KE HAM NE US WAQT TAK YAZEED KI BAIT FASAKH NHE KI YAHAN TAK KE HAMAIN YAKEEN NA HOGIA KE AASMAN SE PATHHAR BARSAIN GAY . YAHAN TAK NOBAT POHANCH CHUKI THI KE LOG MAOON (MOTHERS), BETIYOUN AUR BEHNOON SE NIKAH KERTE THY AUR SHARAB PEETAY THY AUR NAMAZ WAGHAIRA CHHORR BAITHY THY.
(TAREEKH-UL-KHULAFA PAGE 301)
Marwan ke ghar ka muhasira (mukhtasar qissa)
Yazeed ko khalafat se mazool kr ke ahle madina ne Abdullah bin ghaseel malaika se jab bait kr li to usman bin Muhammad bin abi sufian aur is k sath he tamam bani umiya aur un k mawali aur ham khayal quraish mein se jitney madina mein mojood the sab per (ahle madina ne) hamla kr diya. Ye sab hazar admi hongy wahan se nikal kr marwan k ghar ki taraf aeye. Logoon ne us ka muhasra kr liya. Aur ye muhasra bahut kamzor tha. Bani ummiya mein se marwan aur umer bin usman bin afaan radi Allah anho ne habeeb bin karah ko bula bheja. Us waqt marwan he woh shakhs tha jo in sab ka sarkarda tha. Umer bin usman to aik kamsin larka tha uski roy na thi. Yazeed ko khat mila. Yazeed ne umroo bin saeed ko logoon ko le kr us tarf jane ka hukam diya. Us ne inkar jaisa jwab diya.
(Tareekh Tabri jild 1 page 254)
Yazeed ne muslim ko Madina per hamla ka hukam diya
Yazeed Ne Abdullah Ibne Ziyad Ko Madine Per Charhai Karne Aur Makkah Mein Abdullah Bin Zubair Ka Mahasra Karne Ka Paigam Bheja Tu Us Ne Kaha Ke:"Khuda Ki Qasam!! Mein Is Fasiq (Yazeed) Ke Liye Ibne Rasool Ko Qatal (Jo Phele Kar chuka Hun) Aur Ka'be Mein Larai Dono Ko Apne Liye Jama Nahi KarunGa"
To Us Ne Mazrat Kardi.
{Ibne Aseer:4/45}
{Ibne Aseer:4/45}
Yazeed ne muslim bin uqba se kaha ke tumara bhala ho un logoon ke ba'd (jo madina mein qaid hain) zindagi ka kiya maza! Uttho aur logoon ko le kr rawana ho aur apni khabar mujhe dete rehna. Gharz ye elaan hua ke logo Hijaz (makkah aur madina ke area ko hijaz kehte hain) ki taraf rawana ho. Aao apna apna wazeefa pora pora le lo isk alawa so so dinar her shakhs k hath mein ba'tor e ehanat diye jaeengy. Gharz bara 12 hazar admi hijaz mein jane k liye uthh kharry hoey. Aur ibn ziyad ko yazeed ne likha tha ke tu ibn Zubair radi Allah anho se larrne ko rawana ho, us (ibn ziyad) ne kaha k is faasaq ke liye mein ye do do 2 2 gunah apne sar na loonga. Aik to Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ke Nawasay ko qatal kron dosra khana ka'ba per hamla kron.
Phir ye lashkar Muslim bin uqba ki sarkardagi mein yazeed ki taraf se rawana hua.
(Tareekh Tabri vol 4 page 255)
Yazeed ne muslim bin uqba ki nigrani mein shaami fauj ko Madina ki taraf bheja, Muslim ne ahle Madina ko khaufzada kiya loota aur qatal kiya aur wahan ke logoon ne is baat per bait ki ke wo Yazeed ke ghulaam hain aur us ne Madina ka naam (natna) "badbu'dar" rakhha halanke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne is ka naam taiyyeba (Pak saaf) rakhha.
(Tareekhe Masodi Vol 3, Page 99).
YAZEED KI MUSLIM BIN UQBA KO INSTRUCTION:
Yazeed ne muslim bin uqba ko hukam diya ke tum per kuch ban jaey to lashkar ka raees hasain bin numair ko bana. Aur logoon ko 3 din tak mohlat dena. Maan jaeen to maan jaeen warna un se qataal krna. Jab tum ko ghalba ho jaey to 3 din tak madina ko lootna. Wahan ka rupaiya aur hathiyar aur ghala sab lashkar waloon ka hai. 3 din k ba'd lootna band krna aur Ali Bin Hussain radi Allah anho se rahayat (concession) krna. Un ke sath naiki krna. Unko apne pass baithana. Logoon ne jo mujh se mukhalifat ki woh us mein shareek na the. Mere pass unka khat aya tha.
(Tareekh Tabri vol 4 page 256)
Yazeed ne Muslim bin uqba se kaha ke (ahle madina) ke logoon ko 3 bar dawat dena, ager wo rajooh karain to un ki baat qabool kerna aur un se baz rehna, basoorat e digger Allah se madad talab kerna aur un se jung kerna aur jab tu un per ghalib aa jaey to 3 roz tak madina ko mubah ker dena phir logoon se baz rehna.
(Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 279.)
Ahle madina aur uqba ki jung
Hirah ya hurrah ki jung
Muslim bin uqba ne apne sab logoon ko sath le kr zameen sarah ki taraf harkat ki aur koofa ki rah per pohanch kr apna sara parda nasab kiya. Phir sawaron ka rasal bhej kr ibn ghaseel (ahle madina) ke muqable mein bheja. Ibn ghaseel ne apne as'haab ko sath le kr sawaroon per hamla kiya.
Phir ahle shaam (yazeedi fauj) ne ahle madina per hamla kia. Aisi gumsaan ki jung hoi k us zamane mein aisi kam he hoi hogi. Teeroon ka meena ahle madina per barasna laga.(kitne sahaba e karam yazeedion ke hathoon shaheed hoey)
(Tareekh Tabri vol 4 page 260)
Muslim bin uqba (aur uski army) madina ke mashriq harah mein utter gia aur 3 roz tak us ne wahan ke bashindoon ko dawat di. Lakin sab ne jung ke siwa kisi baat ko tasleem kerne se inkar ker diya.(3 din k ba'd sulah kalam hoi lakin baat na bani). Yazeediyoun aur ahle madina ke darmiyan shadeed jung hoi. Phir ahle madina ne shikast khai. Donoon taraf se bahut se sadat wahiyan qatal hoey. Jin mein Hazrat Abdullah bin mateeh aur un k 7 betay unki ankhoon ke samne qatal hoey. Aur Hazrat Abdullah bin hanzilatul naseel aur un ke maa jaey bhai Muhammad bin sabit bin shimaas aur Muhammad bin umroo bin hazam qatal ho gaey. Jab wo bichhray parray thy to marwan aap ke pass se guzra aur kehne laga Allah aap per reham kray, kitne he satoon hain jin ke pass mein ne aap ko taweel qayyam o sajood kerte dekha hai.
(Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 280.)
Yazeedi fauj ke leader Abdullah bin mateeh al'adadi aur Abdullah bin hanzla al'nasil ansari thy. Is azeem jung mein bani hashim aur deeger Quraish, ansaar aur doosry logoon mein se beshumaar qatal hoey.
Aale abi talib mein se jo log maray gay un mein Abdullah bin abi jaffar bin abi talib aur jaffar bin Muhammad bin ali bin abi talib thy. Aur aale abi talib ke alawa bani hashim se fazal bin abbas bin rabia bin haris bin abdul matlib, aur hamza bin Abdullah bin nofal bin haris bin abdul matlib aur abbas bin utba bin abi lahab bin abdul matlab maray gaey. Aur digger Quraish se 90 se ziyada admi aur itne he ansaar ke admi maray gaey aur jo log shumaar mein nhe aa sake un ko chhorr ker digger logoon mein se 4000 admi maray gaey. Aur logoon ne is per bait ki ke wo yazeed ke ghulam hain aur jis ne is baat ko man'ne se inkaar kiya us ne Ali bin hussain Bin Ali aur Ali bin Abdullah bin Abbas ke siwa talwar ki dhar per rakh lia.
Aur jung hura ya hira ke baray mein Muhammad bin aslam kehta hai:
Ager tum ne hira ke roz hamain qatal kiya to ham islam ki khatir qatal hone wale pehle log hain ham ne tumain badr ke roz zaleel ker chhorra tha aur ham apni talwaroon ko is haal mein le ker lotay thy ke wo tumaray khoon se badbudar ho gain thien.
(TAREEKH E MASODI VOL 3, PAGE 100)
MADINA MEIN 3 DIN TAK LOOT MAAR
AUR AURATOON SE ZINA KERNA YAZEEDI ARMY KA
Muslim bin uqba ne 3 din tak madina ki loot shaamiyoun ke liye jaiz (mubah) ker di. Logoon ko qatal phhirte the aur un ka maal loot lete the.
(Tareekh Tabri Vol 4 page 261)
Muslim bin uqba ne jissay salf masraf bin uqba kehte hain Allah is buray aur jahil insane ka bhala na kray yazeed ke hukam ke mutabiq madina ko 3 din ke liye mubah ker diya. Allah yazeed ko iski naik jaza na de aur us ne bahut se amwaal ko aur qarah ko qatal ker diya aur madina ke bahut se amwaal ko loot liya. Aur jaisa ke bahut se morkheen(historian) ne bayan kiya hai ke bahut sa shar o fasad paida hogia aur jin logoon ko us ke samne bandh ker qatal kiya gia un mein hazrat ma'qal bin sanan bhi thy.
Almadaiyni ne bayan kiya ke muslim bin uqba ne madina ko 3 din k liye mubah ker diya aur wo jis shakhs ko pate ussay qatal ker dete aur amwaal ko loot lete. Auratoon se zana kiya. Kehte hain ke in ayaam mein khawand ke baghair aik hazar auratoon ko hamal (pregnant) hogia.
Almadaiyni ne ba'hawala abi qurta bayan kiya hai ke hishaam bin Hassaan ne bayan kiya hai ke mar'raka(adventure) harah ke ba'd ahle madina ki aik hazar auratoon ne khawand ke baghair bachoon ko jannam diya. Aur sadaat sahaba radi Allah anhum ki aik barri jamaat ro'posh ho gai.
Ansaar aur muhajreen ke 700 sarkarda log, aur mawali ke sarkarda log aur jin azad aur ghulam waghairham ko mein nhe janta wo 10 hazar thy.
(Al.bidaya wan'nahaya vol 8, pages 280.281,282)
63 ad mein yazeed ko khaber mili ke Ahle Madina ne us ki bait fasakh ker di aur us se baghi ho gaey hain . us ne forum aik lashkar jarar un se larrne ke liye rawana ker diya aur kaha un se larrne ke ba'd Makkah mein Ibn Zubari radi Allah anho se jung krain , chunanchay Madina ke baab taiyyaba per jung herah hoi aur jung bhi kaise hoi is ka zikr krte hoey aik dafa Hassan basri kehte hain koi shakhs aisa na tha jo is lashkar ke gazand se mehfooz raha ho.
Bahut se Sahaba radi Allah anhum aur digar log bhi is jung mein shaheed hoey. Madina munawra ko loota gia aur sharam o hayya ke daman chalk kiye gaey . Inna Lillahe Wa Inna Ilaihe Raji'oon. Halanke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ka irshad hai jis ne Ahle Madina ko khauf'zada kiya , Allah usko khaufzada kray ga aur us per Allah ta'ala , us ke tamam farishtoon aur tamam logoon ki lannat hogi.
Rawah muslim
(Tareekh-ul-Khulafa page 301)
Madina mein 700 hifaaz aur 300 as'haab shaheed hoey
Abdullah bin wahb ba'hawala Hazrat malik rahmatullah alaihe bayan kerte hain ke hurrah ke roz 700 haafiz e Quran shaheed hoey, mera khayal hai ke Aap ne farmaya 300 Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ke as'haab thy. Aur ye waqiyah yazeed ki khilafat mein paish aaya.
(yazeed ke hukam per muslim bin uqba ne Madina per hamla kia.
(Al.bidaya wan'nahaya Vol 6, Page 316)
Yazeed k lashkar ne Hazrat Abu SAEED KHUZRI nabeena the unki dadhi pakad k thappad mare masjid-e-nabwi me azan muattal kardi
ikamat muattal kar di namaz muattal kar di 3 din MUSTAFA (sallallaho alyhi wasallam) k mazar par Azan nhi hui aur har kitab me ALBIDAYA WANnnihaya,
Tareekhe Tabri me Tareekhe khulafa me IBNEASEER me tareekhe GALOOM me TAREEKHE ZAHBI me har seerat ki aur TAREEKh ki kitab me darj hai
ikamat muattal kar di namaz muattal kar di 3 din MUSTAFA (sallallaho alyhi wasallam) k mazar par Azan nhi hui aur har kitab me ALBIDAYA WANnnihaya,
Tareekhe Tabri me Tareekhe khulafa me IBNEASEER me tareekhe GALOOM me TAREEKHE ZAHBI me har seerat ki aur TAREEKh ki kitab me darj hai
MUSLIM BIN UQBA KI MAUT
Muslim bin uqba merte waqt ibn numair ko wasiyat krta hai k khabron ko chhupaey rakhna, kisi Quraishi ki baat kabhi na sunna. Ahle shaam ko dushman ke muqable se kabhi hatne na dena. Ibn zubair radi Allah anho faasaq se larrne mein 3 din se ziyada dair na krna. Is k ba'd kaha:
Khuda wand! Shahadat "La Ilaha Illallah Muhammadur Rasoolallah" ke ba'd ahle madina se qatal krne se barh ker koi aisa amal e khair aisa mein ne nhe kiya jis per mujhe naaz ho aur jis per akhirat mein mujhe bharosa ho.
(Tareek Tabri vol 4 page 264. )64ad
Yazeed ke hukam ke mutabiq Muslim bin uqba Makkah per hamla kerne ke liye nikla to wo qadeem muqam per pohancha to muslim bin uqba mer gia……………………………………
(TAREEKH E MASODI VOL 3 PAGE 102)
Ibn Numair ki makkah per fauj kashi
Muslim ke merne k ba'd ibn numbair lashkar ko liye hoey ibn zubair radi Allah anho se larrne ko makkah ki taraf rawana hua. Aur yahan tamam ahle makkah aur ahle hijaz(ibn zubair) se bait kr chukay the
Ibn zubair radi Allah anho ne apne bhai munzer radi Allah anho ko kuch logoon k sath qataal krne k liye rawana kiya. Aik sa'at tak unhon ne bahut shaded jung ki. Isi asna mein aik shaami ne unhain apne muqablay ke liye bulaya. Shaami khachar per sawar tha. Munzer radi Allah anho uski taraf barhay. Aik ne dosry per hamla kiya. Donon ke waar kari par gay. Donon be'jan ho ker gir pary. Is k ba'd ahle shaam ne bahut sakht hamla kiya. Ibn zubair radi Allah anho sabit qadam rhe. Is k ba'd ahle shaam maah muharam aur aur kul maah safar tak ibn zubair radi Allah anho se qataal krte rahe.
(Tareekh Tabri Vol 4 Page 265)
KHANA KA'BA PER SANG BARI:
Rabi'ul awal 64 ad ki teesri 3 tareekh roz'shanba in logoon (yazeedion) ne khana ka'aba per manjaneeq se pathhar barsaey aur aag laga di aur ye rajarr(shair) parhte jate the "ye manjneeq aik shutter mast hai ke ham is se ka'ab per nishana laga rhe hain"
umroo bin aws sidohi yehi kehta jata tha.
Zara ummay faroha ko dekhna ke safa wa marwah ke darmiyan logoon ko nishana bana rahe hai.
Ummay farwah us ne manjneeq ka naam rakhha hua tha.
Muslim ke dafan hone k ba'd ibm numair muharam ki taisween 23 ko makkah ki taraf rawana hua aur muharam ki chhobees 26 ko makkah pohancha. 64 din tak Ibn Zubair radi Allah anho ka muhasra kiye rakhha azza rabi'ul akhir ko yazeed ke merne ki khabar sun ker muhasira uthha liya.
(Tareekh Tabri Vol 4 Page 265)
Unhoon (yazeediyoun) ne ka'aba per manjneeq nasb ker dein aur un se aag ke golay bhi phhainkay aur hafta(Saturday) ke roz Baitullah shareef ki diwarain jal gaien. Ye qol waqdi ka hai aur wo kehte hain ke: "is ka gophhan phhatti hoi jhaag'dar cheez ki manind hai jis se is masjid ki diwaroon per sang'bari ki jati hai.
Aur umroo bin hotatus sadosi kehta hai: "tu ne ummay farwa ki karwai ko kaise paya us ne inhain safa o marwa ke darmiyan pakar liya. Ummay farwa aik manjneeq ka naam hai.
(Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 286.)
Pass manjneeqooon ke pathhar pe dar pe baitullah per barasne lagay aur pathhroon ke sath aag aur matti ka tail (oil) aur kataan ke tookray aur digar jalne wali cheezain phainki jane lagi, ka'aba gir gia aur is ki amarat jal gai aur aik bijli giri jis ne manjneeqoon ko chalane wale 11 admiyoun ko jala ker rakh diya aur baz kehte hain ziyada admiyoun ko jala diya.
Ye waqiya yazeed ki maut se 11 din pehle ko hua. Ibn zubair aur ahle Makkah ki halat bahut kharab ho gai. Aur pathhroon, aag aur talwar se musalsal aziyat di ja rahi thi. Is baray mein abu dajza madni kehte hain
Ibn numair ne bahut he bura kaam kiya us ne muqaam aur musalla ko jala diya hai.
(TAREEKH E MASODI VOL 3 PAGE 102)
KHANA KA'ABA MEIN AATISH ZANI:
Khana ka'aba ke jalne ka incident yazeed ke merne ke 29 din pehle hua. Log us ke ird gird aag sulgaya krte the. Hawa chali.
Aik changarri urr ker ghulaf e ka'aba per ja parri. Chobina jal gia. Roz'shanba rabi'ul awal ki teesri 3 ko ye waqia guzra.
Urwa bin azeena ussi din apni maa ke sath makkah aeye the. Unhoon ne ka'aba ko be'libas aur rukan hateem ko jhalsa hua aur teen 3 jagah se tarka hua dekh ker logoon se pochha ke ye kiya museebat ka'aba per I hai? Unhoon ne ibn zubair radi Allah anho as'haab mein se aik shakhs ki taraf ashara ker ke kaha "us shakhs ke sabab" se ye hadsa hua. Us ne burchhi ki noke se aik angara ko utthaya aur hawa ussay urra le gai. Ghulaf e ka'aba mein rukne yamani wa aswad ke darmiyan aag lag gai.
(Tareekh Tabri Vol 4 Page 266)
Baz ka qol hai masjid ki diwarain is liye jal gaeen ke ahle masjid ka'aba ke ird gird aag jalane lagay, pas ka'aba ke aik parday ko aag lag gai jo iski lakriyoun aur chhattoon tak ponch gai.
(Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 286.)
Manjneeqoon ke pathar pe dar pe Baitullah per barasne lagay aur pathroon ke sath aag aur matti ka oil aur kattan ka tookray aur diggar jalne wali cheezain phhainki jane lagi, Ka'aba mun'hedum ho gia aur us ki amarat jal gai
(Tareekh Masaudi Page 102.)
Yazeed ne us ki jagah kisi aur shakhs ko ameer banaya. Akhir 64 hijri maah safar mein unhoon ne Makkah ka muhasira ker liya aur ibn zubair radi Allah anho se jung shuru ker di aur manjneeq se pathar marne lagy aur un ki aag ke sholoon se Ka'aba ke parday, chhat aur us danba ke seeng jal gaey jo Hazrat Ismail Alaihessalam ka fidya bana ker bheja giya tha. Aur jo us zamanay se Ka'aba ki chhat per latkay chale aate thy.
(Tareekh-ul-Khulafa Page 302)
Yazeedion aur kharjion mein koi farq nhe hai
Ibn Zubair radi Allah anho ne ibn numair se kaha qareeb a mien tujh se kuch batain kronga. Aur ye us se batain kr rhe the k un k gorron mein se kisi gorray ne laid ki, haram ke kabooter laid per giray. Ibn numair gorray se utter kr kabootron ko bachane laga. Ibn zubair radi Allah anho ne kaha ye kiya ker rhe ho?
Kaha aisa na ho ke haram ka koi kabooter gorray ki top se kuchal jaey.. kaha wah kabooter ke qatal se to perhaiz hai aur musalmanoon ke qatal per amada hai.
(Tareekh Tabri Vol 4 Page 266)
YAZEED KA GUMRAHI WALA SHAIR
Yazeed ne jo ash'haar ghazwa e uhad ke baray mein kahay, wo kehta hai:
"kash mere shayookh badar mein naizoon ke parrne se khazraj ki gabrahat ko dekhte jab wo un ke sehan mein utartay to unhoon ne untoon(camels) ko betha diya aur abdul ash'hal mein khub khoon raizi hoi aur ham ne un(musalmanoon) ke dugnay ashraaf ko qatal ker diya ham ne badar ki kujji(dagh ko )darust ker diya aur wo darust ho gai."
Aur baz rawafaz ne in mein ye izafa bhi kiya:
"hashim ne hakoomat ke sath khail kiya pas ussay na hakoomat mili na wahi nazil hoi"
(Al.bidaya wan'nahayah vol 8,page 285)
"kaash mere bazurg badr mein naizoon ki chot per khazraj ke gabrahat ko dekhte, unhoon ne awaz buland ki aur khushi se chamak utthay phir unhoon ne mujhe kaha na poch jab un ke oontoon ke sehan mein takrao hua aur abdul-assal mein khub qatlaam hua, ham ne tumaray dugnay sardaroon ko qatal kiya hai aur ham ne badr ki kajji ko seedha ker diya hai pas tub bhi seedha ho ja.
(in shairon mein yazeed kehta hai ke mein ne tumaray badr k muslim k hathoon hone wale kaafiron ka badla liya hai…ASTAGHFIRULLAH)
(Al.bidaya wan.nahaya vol 8, page 246)
IMAM IBN KATHEER KA YAZEED PER TABSARA
Yazeed ka muslim bin uqba ko ye kehna mein ke wo madina ko 3 din tak mubah ker de, fahash ghalti thi aur ye aik bahut barri qabeeh ghalti hai. Aur is ke sath bahut se sahaba aur un ke betoon ka qatal bhi shaamil hai aur pehle bayan ho chukka hai ke us (yazeed) ne Hazrat Imam Hussain aur aap ke as'haab ko ubaidullah bin ziyad ke hathoon qatal kiya aur 3 ayaam mein madina munawra mein be'haddo be'hisaab mufaasid roo'numa hoey. Jinhain Allah ke siwa koi nhe janta aur us ne muslim bin uqba ko bhej ker apni hakoomat aur iqtadar ko mazboot kerne aur jhagra kerne wale ke baghair apne ayaam ko dawam bakhashna chaha magar Allah ta'ala ne is ke iraday ke khilaaf ussay saza di aur us ke iraday ke darmiyaan haiyl ho gia pas Allah ta'ala ne ussay halaak kiya jo charoon 4 (yazeed,uqba,ibn ziyad,ibn sa'ad) ko halaak kerne wala hai aur us ne ghaalib muqtadar ki tarah grift ki aur isi tarah tere Rab ne zaalim bastiyoun per grift ki, bilashuba uski grift dardnaak aur sakht hoti hai.
(Al'bidaya wan'nahay, vol 8, page 283)
Ab aap sab ne apni ankhoon se parh lia ke madina mein koi jurm kray ga to us per Allah ki , farishtoon ki, aur tamam insanoon ki lannat hoti hai. Yazeed ne army bheji aur us ne 3 din madina mubah ker diya apni fauj ke liye aur loot maar ki aur auratoon se zina kiya. To ye sab kerne se kiya wo lannati nhe hoa. Waqia karbala aur Makkah mein hone wali sang bari aur aatish zani ko bhi chhorr dain to bhi Madina mein kiye gaey jurm us per lannat kerne k liye kaafi hain.
Ye sab jaan lene ke ba'd koi jahil he ho sakta hai jo kahe ke yazeed jannati hai aur us ko raheemullah aur rahmatullah kehna jaiz hai.
Umeed hai ke log zakir naik jaise gumrah kun logoon se bachne ke koshish krain gay kion ke jin ki ye zakir naik pairvi krta hai wo lannati hain wo sahih nhe hain to in ka aqeeda kaise theak ho sakta hai. Allah ne her aik ko aqal e saleem ata ki hai yehi sochne aur samajhne k liye.
Allah ham sab ko naik aur seedhi rah par chalaey.. aameen.