1. Imam ZEHBI (Rahmatullahe alayhe) Apni Islami Tarikh Ki
Kitab Me Yazeed Ke Muttaliq Likhte Hain:
Me (Imam Zehbi Rahmatullahe alayhe) Kehta Hoon Yazeed Ne
Jo Kuch Madeena Ke Logo Ke Sath Kiya Aur
Hussain Rdh. Aur Unke Bhaiyo Aur Auladon
Ko QATAL Kiya Aur Yazeed SHARAB NOSHI,
BADKAR Aur MAKROOH Cheezo Me Mubtalah
Rehta Tha Toh Log Usse NAFRAT Karte The
Aur Iske KHILAF Ek Se Zada Martaba
KHUROOJ Kiya. Khuda Ne Iski Zindagi
Majzoob (Lambi) Nahi Di Aur Abu Bilal
Mirdas Bin Adya Al-Hanzali Iske Khilaf
Khade Huye.
[Tarikh Al-Islam Wa-Tabaqat Al-Mashahir
Wa-Al-A’lam, Jild: 5, Safa: 30]
scan page
2.Imam ZEHBI (Rahmatullahe alayhe) Likhte Hain:
ﻭﻛﺎﻥ ﻧﺎﺻﺒﻴﺎ ﻓﻈﺎ ﻏﻠﻴﻈﺎ ﺟﻠﻔﺎ ﻳﺘﻨﺎﻭﻝ ﺍﻟﻤﺴﻜﺮ ﻭﻳﻔﻌﻞ ﺍﻟﻤﻨﻜﺮ ﺍﻓﺘﺘﺢ
ﺩﻭﻟﺘﻪ ﺑﻤﻘﺘﻞ ﺍﻟﺸﻬﻴﺪ ﺍﻟﺤﺴﻴﻦ ﻭﺍﺧﺘﺘﻤﻬﺎ ﺑﻮﺍﻗﻌﺔ ﺍﻟﺤﺮﺓ ﻓﻤﻘﺘﻪ ﺍﻟﻨﺎﺱ
ﻭﻟﻢ ﻳﺒﺎﺭﻙ ﻓﻲ ﻋﻤﺮﻩ ﻭﺧﺮﺝ ﻋﻠﻴﻪ ﻏﻴﺮ ﻭﺍﺣﺪ ﺑﻌﺪ ﺍﻟﺤﺴﻴﻦ ﻛﺄﻫﻞ ﺍﻟﻤﺪﻳﻨﺔ
ﻗﺎﻣﻮﺍ ﻟﻠﻪ
“Aur Yeh (Yazeed bin Muawiya) NASIBI,
SANGDIL, BADZUBAN, GALEEZ Jafaar Ka,
SHARAB KHOR Aur BADKAR Tha. Isne Apni
Hukumat Ki Iftitah (Shuruwat) Hazrat
Hussain Shaheed (Rdh.) Ke QATAL Se Kiya
Aur Ikhtitam (Khatam) Waqiya HARRAH Ke
Qatal-e-Aam Par Kiya, Isliye Logo Ne Ispar
Phitkar Bheji Aur Iski UMAR Me Barkat NAA
Hosaki.
Hazrat Hussain (Rdh.) Ke Baad Bohot Se
Sahaba (Rdh.) Ne Iske
Khilaf ALLAH Ki Raza Ke Liye KHUROOJ Kiya…”

[Siyar Al-Alam Al-Nubalah, Jild: 4, Safa: 37, 38]
scan page
3. Imam Suyooti (Rahmatullahe alayhe) Apni Kitab Me Imam
ZEHBI (Rh.) Ka Farman Naqal Karte Huye
Likhte Hain Ke
Imam Zehbi (Rahmatullahe alayhe) Ne Farmaya: Yazeed Ne
Jo Madeena Ke Logo Ke Sath HARKAT Kiya
Tha Agarche Woh Iske PEHLE Bhi
SHARABKHOR Aur Deegar BADDI (Shaitani)
Kammo Me Maloos Tha. Phir Makkah Ke Log
Bhi Iske KHILAFF Bagawat Kardi Aur
Charron Taraf Se Iske (Yazeed) Ke Khilaf
Uth Khade Huye Aur Allah Ne Yazeed Ki
Zindagi Me Barkat Nahi Diya.
(Phir Yeh Zikr Hai Ke Yazeed Ne Makkah
Par Humla Kiya Aur Abdullah Bin Zubair
(Rdh.) SAHEED Kardiye Gaye)

[Tarikh Al-Khulafa, Safa: 167, Beiroot]
scan page

4 Imam ZEHBI (Rahmatullahe alayhe) Ne Yazeed Bin
Muawiyya Se Hadees Naqal Karna Bhi Sahih
Nahi Samjha Chunanche Unhone Imam
AHMED Bin Hanbal (Rahmatullahe alayhe) Ke QAUL Se Apna
Mauqaf Zahir Kardiya Hai.
Chunanche….
Imam ZEHBI (Rahmatullahe alayhe) Likhte Hain Ke, Imam
AHMAD Bin Hambal (Rahmatullahe alayhe) Farmate hain: “
YAZEED Se Riwayat NAA Ki Jaye ”
[Meezanul Aiteedal, Jild: 4, Safa: 440,
Raqam: 9754]

5.Imam Suyooti (Rh.) Waqiya Karbala Bayan Karne Ke Baad Likhtey Hain...

YAZEED Aur Jo Jo Shamil The Qatle Hussain Rdh. Me Unpar ALLAH Ki LANNAT...

[Tarikh Al-Khulafah Lil Suyooti Rh., Nafees Academy (Urdu)]

6. Allama Alusi rehmatullahe ta'ala alaihe likhte hain:
Yazeed par lanat bhejne ka jawaz is ayat se bhi aata hai jaisa ki Al-Barzanji ne Al-Ashaat me aur Imam Al-Haythami ne As-Sawaiq me Imam Ahmad se naqal kiya hai ki unke bête Abdullah ne Yazeed par lanat bhejne ke bare me unse pucha to aapne farmaya ki Aise shaks par lanat bhejna kaise jaez na hoga jabki ALLAH Quran me aise shaks par lanat bhej raha hai.

Ispar Abdullah rehmatullahe ta'ala alaihe ne kaha ki Quran ki wo ayat padhiye to mai bhi jaan lu ALLAH kis tarah lanat bhej raha hai.

To Imam Ahmad rehmatullahe ta'ala alaihe ne ye ayat padhi

Al-Quran: “فَهَلْ عَسَیْتُمْ اِنْ تَوَلَّیْتُمْ اَنْ تُفْسِدُوْا فِی الْاَرْضِ وَ تُقَطِّعُوْۤا اَرْحَامَكُمْ۝۲۲
فاُولٰٓىِٕكَ الَّذِیْنَ لَعَنَهُمُ اللّٰهُ فَاَصَمَّهُمْ وَ اَعْمٰۤى اَبْصَارَهُمْ۝۲۳

Tarjama: To kya tumhe ye nishaniyan nazar aati hain ki agar tumhe hukumat mile to tum zameen me fasaad paida phailaao aur apne rishte kaat do. Yehi hain wo log jinpar ALLAH ne laanat kiya aur unhe Haq se behra kar diya aur unki ankhen phod di.
(Sureh Muhammad ayat 22-23)
Iske aage Allama Alusi farmate hain:
Aur mai kehta hu ki yazeed Khabees ne ALLAH ke Rasool sallallaho alaihe wasallam ke paigham ki qadr na ki. Mere nazdik ye sahih hai ki Yazeed jaise shaks per lanat kiya jaaye. Aise fasiq shaks ka koi tasawwur bhi nahi kar sakta. Aur usne kabhi iski tauba na ki. Uski tauba ka imkan uske eiman ke imkan se bhi kam hai.

Yazeed ke sath uske sath Ibn Ziyad, Ibn Sa’ad aur uski jamat bhi shamil hai. Beshak unpar ALLAH ki lanat hai. Aur unke doston par aur unke Himayatiyon par aur un tamam logn par jo Qayamat tak unki pairwi kare. Jab tak ki Imam Hussain ke liye ankhon se aansu giren.
(Tafseer Roohul Mua’ani Jild-26 Pg.73) 
scan page
7.Ibn Hajar Asqalani likhte hain;
.
Yazeed bin Muawiya bin Abi Sufiyan 60 Hijri me Khilafat par faaiz hua aur 64 Hijri me mar gaya. Pure 40 saal ka bhi na ho saka. Wo iska ahel nahi ki usse koi Hadees li jaye.
(Taqreebut Tehzeeb Pg. 1083)
scan page
8. Imam Ibn Hazam Zahiri likhte hain:
.
Ye (Yazeed) Islam me bure kaamo ka karne wala raha hai. isne apni iqteda ke akhir daur me harrah ke din Ahl-e-Madina ka Qatl-e-Aam kiya..
.
Unke behtarin afraad wa baqeeh Sahaba ko Qatl kiya. Aur apni saltanat ke wail me Imam Hussain aur unki Ahlebait ko qatl kiya. Aur Masjid-e-Haram me Ibn zubair ka Muhasirah kiya. Kaaba Sharif aur Islam ki behurmati ki. Phir ALLAH TA’ALA ne unhi dino isko maar daala.
(Jamhrah Ansabil Arab by Ibn Hazam Zahiri Pg.112)

Na-Samjho Ko Sahi Samajh De Or Hamko Shaitaan K Makr-O-Fareb se bachaye Or Hamko Isi Mazhabe Haqqa Yani Maslak-E-Syedi Sarkaar Aala Hazrat Par Jilaye or isi par Khatma Bil Khair ata Farmaye.

Aameen bi jahi Syedil Mursaleen (Sallallahu Alehi Wasallam)

Yazeed Buzurgane Deen Ki Nazar me