Waseele K Mayni

Waseela ki Haqiqat




Waseela ke 2 tarah ke maayni he
 

1-mayni

1) Lughat ki Mashoor Kitaab
"لسان العرب"
me Allama Ibne Manzur ne Waseela ki Yahi Taarif baya ki Aur likha
"Ma Yotawwasalo Behi Elayis'saye Wayotakarrabo Behi"
"Waseela ushe kehte he jiske Jariye kishi Makshad tak Pahoncha jaye, kishi Saye tak Pahoncha jaye Aur Jiske Zariye us Saaye ka Kurb Hasil kiya jaye"
(Lisanul Arab, Harf- Al Vaaw, Jild-10, Safa-213)

2) Jiske Jariye Kishi se Kurb Aur Nazdiki Hasil ki jaaye Usko Waseela kehte he
(Al Taarifat, Safa-225)

3) Imaam Zamakhshari kehte he
Har woh Chiz jis ke Zariye ALLAH TA'ALA Tak Pahoncha jaaye,
Yaani Kurb Haasil kiya jaye ise hi Waseela kehte he,
(Tafseerul Kasfh, Jild-1, Safa-488)
  

2-Mayni
Waseela ka Dusra Maani ye he ki Waseela ek Aala Aur Buland Tarin Makam ka Naam he, jis par NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam hi Faiz honge,
jeisha ki Azan ke Baad Dua Mangi jati he usme ye Alfaz hote he
"Aate Mohammadan Al Wasilana"
Yaani Ay ALLAH Apne Pyare Mehbub HUZOOR MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ko Makame Waseela Aata farma,
.
SARKARE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Khud Irsaad Farmaya
Hadees :-
Hazrat Abdullah Bin Umro Bin Aas ka Bayan he ki Unhone 
RASOOLE AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Farmate suna he Jab Movajjin(Azan dene wala) ki Azan Suno Tum Wahi kaho jo Movajjin kehta he Fir Muz par Doorud padho kyuki jo koi Muz par Ek Martaba Doorud Padhta he to ALLAH TA'ALA Us par Apni 10 Rehmate Naazil Farmata he, uske Baad ALLAH TA'ALA se mere liye Waseela Mango kyunki Waseela DarAsal Jannat me ek Makam he jo ALLAH ke Neik Bando me se ek Bandey ko Diya jayega Aur Muze Ummid he ki Wo Banda Me hi Honga Aur jo Koi Mere liye Waseela(Makame Mehmud) Talab karega uske liye Meri Safa'at Wajib Ho jayegi
(Muslim Shareef, Kitabul Salat, Jild-2, Safa-16, Hadees - 849)

scan page



Is Makam ko ALLAH TA'ALA ne Aapke Liye hi Makshus Farmaya Aur koi Us Makam Tak Pahonchega Nahi,
Hame Dua Mangne ka Is liye Huqm Diya ki Ham Jitni Aap ke liye Dua Magenge itna hi ALLAH TA'ALA Ham Par Maherbaan hoga,

Waseela ka ye Maani ke wo ek Khaas Makam ka Naam he ye to NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Sath Makhsus he,is par to HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam hi Faiz honge,
Ab Jis Waseela ke Taalib ka ALLAH TA'ALA ne Hame Huqm diya ye Wo Makam to nahi ho sakta, is liye ki wo to Sirf NABI E PAAK Sallallaho Alayhe Wasallam ke liye Khaas he,

Lihaja Waseela ka Maani Zariya Muraad he ki wo Zariya jiske Zariye se ALLAH TA'ALA ka Kurb Hasil Kiya jaye, Jo Upar 1 Maana me he...




Waseele par Aqeeda e Ahle Sunnat Wal Jama'at



Hamara Aqeeda he ki ALLAH TA'ALA ki Baargaah me Ambiya e Kiraam Aalimul Islaam va Buzurgaane Deen ka Waseela Peish karna Jaiz va Mustahsan he,
Tawassul ka Ta'aluk Chahe Ambiya kiraam Alayhesalam va Buzurgaane Deen Rahmatullah Alay ki Hayate Jahiri ke Sath ho ya Unki Wafat ke Baad Dono Surato me Waseela Peish karna Jaiz he,
Tawassul Dua ke Tariko me se Ek Tarika he Aur Tawajjo e ILLALLAH (Yaani ALLAH TA'ALA ki Taraf Tawajjo karne) ke Darwajo me se ek Darwaja he,
Makshad Asli Haqiqi va Sirf Aur Sirf ALLAH TA'ALA ki hi Jaate Akdash hoti he Aur Jisko Waseela Banaya jata he Wo to ek Wasta hi hota he,

Mutavvasal (Waseela Pakadnewala) Jis Wasta ko Waseela banata he wo Sirf Is Wajah se Banata he ki Is Bandey ko is se Mohabbat he Aur ye Aqeeda Rakhna he ki ALLAH SUBHANA bhi Is Waste ko Mehbub Rakhta he.. 
Ham Jiska Waseela Peish karte he wo ALLAH TA'ALA ke Neik Bandey he, Unko ALLAH TA'ALA ne Fakt ek Zariya Banaya he ye kishi ki Madad karenge to ALLAH TA'ALA ki Di hui Takat se Madad karenge,
Ham jinka Waseela peish karte he unko Madad karne ki Ijajat bhi ALLAH TA'ALA ne di he, Aur Agar Unhe ALLAH TA'ALA madad karne ki ijajat Na di ho to ye Madad nahi karte he,
Ye Neik Bandey ALLAH TA'ALA ki Ijajat Aur Aur Azn se Hamari Madad karte he..
(Ulma E Ahle Sunnat )

------------------------------------------------------------------------------------------------
Talib-E-Dua 


Sag-E-Umar Ibn Al Khattab (Radi Allahu Anhu)
Syed Hassan ALi Razwi

+91 888-1-444-741

Founder & President
Anjumane Faizan-E-Huzoor Tajushshariah,Sambhal