Hazrat Shah Abdul Azeej Muhaddise Dehlvi Alehi Rehma
Ashra-e-Moharram me taaziya daari or kabr va surat wagairah banana Jaaiz nai hai (Fatwaye Aziziya Jild 1. Page N. 75)
Fir chand line ke baad likhte hai taaziya daari jaisa k bad mazhab karte hai bid’at hai or aise hi taboot, kabro ki surat or Alam wagairah yeh bid’at hai or jaahir hai bid’at Saiyyah hai (Fatwaye Azijiya Jild 1. Page N. 75)
Or likhte hai ye taaziya jo k banaya jaata hai jiyarat k qaabil nahi hai k use khatam kiya jaaye jaise k hadees sharif me aaya hai k tumme se jo shaks koi baat khilaf shar’Aa dekhe toh use apne haath se khatam kare or hath se khatam karne ki taakat na ho toh jabaan se mana kare or agar jabaan se bhi manaa karne ki bhi taakat na ho toh dil se boora jaane ye sab se kamjor imaan hai. (Fatwaye Azijiya Jild 1. Page N. 76)
Taaziye daari me madad karna kaisa..?
Is sawal k jawab me likhte hai ye b jaaiz nahi is liye k yeh gunah par madad hai or gunah par madad Na’jaaiz hai (Fatwaye Azijiya Jild 1. Page. N. 77)
Is sawal k jawab me likhte hai ye b jaaiz nahi is liye k yeh gunah par madad hai or gunah par madad Na’jaaiz hai (Fatwaye Azijiya Jild 1. Page. N. 77)
Aalahazrat Imam-E-Ahle Sunnat Syedi Sarkaar Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Alehi Rehma Farmate hain. Taaziya ki Asl is qadar thi k roza e poor noor Huzoor Sehzadaye Rasool Hazrat Imame Hussain Shahid Julmo Jafa Radi’Allaho Ta’Aala Anho ki sahi naql bana kar ba’niyat tabarruk ghar me rakhna, us me Shar’Ayi koi harz na tha k tasveer makaanat wagairah har gair jaandar ki bana kar rakhna sab jaaiz hai. Or Aesi cheeze Akabireen k taraf mansoob ho kar azmat paida kare Unki Timsaal (Roze ki tasveere) ba’niyate tabarruk paas rakhna Qat’An jaaiz jaise Sadiyo se tabqa dar tabqa Aaimma-e-Deen or Aulmaaye Mu’Atamideen (Qabile Aitbaar) Nalain Sharifain Huzoor Sayyadul Qonain Huzoor ﷺ k naqse banate or unke favaide jalila or manafe jazila (Khubsaare Favaide Barkaat) Mustqeel risaale tasneef farmaate hai. Kisi ko Shak ho Imaam Allama Tirmisaani k fathool Mut’Aal wagaira mutaala kare. magar Johaale bekhird (Be-Aqal Jaahil) ne us Asal Jaaiz ko bilkul khatam karke hajaaro khuraafat daal diye Shari’Ate Mutahara se Al Amaa Al Amaa ki sadaye Aayi. Awwal toh naqshe taaziya me rozaaye Mubarak ki naqal malhooz na rahi har jagah nai taraash nai ghadat jise us naql se kuch ilaaqa na nisbat (koi ta’Alluk nahi) fir kisi me pariya kisi me buraaq kisi me or behooda tamtaraaq fir koocha ba koocha dast ba dast ishaate gum k liye unka gasht or unke gird sinaa jani (Chhati Pitnaa) or maatam Saazi ki Shor Machaana koi un tasveero ko jhook jhook kar salam kar rha hai, koi mashgole tawaf, koi sajda me gira hai, koi in Maaya-e-Bid’At ko (taaziya) ko Maz’Allah jalwaagahe Imame Hussain samjh kar usse muraade mangata, mannate manta hai, haajat rava jaanta hai fir baaqi tamashe baaje taashe mardo, aurto, ka raato ko mel or tarah tarah k behooda khel in sab Turra hai.
Garz Ashraaye moharramul haram ke agli shari’ato se is shari’ate paak tak nihayat ba-barkat wo mehle ibadat thehra hua tha un behooda rasoomat ne jaahilana or fasiqaana melo ka jamana kar diya. Fir bid’ato ka wo josh hua k khairaat ko bhi batore khairaat na rakha balke riya kaari or Shobaji hota hai fir wo bhi yeh nai k sidhi tarah ho balke chhato par beth kar fenkenge. Rotiya jameen par gir rahi hai rizqe halal ki be-adbi hoti hai Paise rait me gir kar gayab hote hai maal jaaya ho rha hai magar naam toh ho gaya ki fala shb langar loota rha hai ab bahaare Ashrah k fool khile, taashe baaje bajte chale, tarah tarah ke khelo dhum, baajari aurto ka har taraf huzoom, Shehwaani melo ki poor roosum, jashn ye kuch or us k sath khayal wo kuch goyaa ye saakhta tasveere (Banye hue taaziye) ke Asl me Shohdaaye kiraam Rizwaanul’laahe Ta’Aala Alayhim ke janaze hai. Kuch nooch utaar baqi tod taad kar dafan kar de ye har saal maal ko jaaye karne ka jurmo wabaal hai Allah Ta’Aala sadqa Hazraate shohdaye karbarala Rizwaanul’laahe Ta’Aala Alayhim ka humare bhaiyo ko nekiyo ki tofiq bakshe or buri baato se toba ataa farmaye Aameen.
Ab ke taaziya daari jis ka abhi rivaaj hai kat’An bid’at wa na’jaaiz wa haram hai. Haaagar aehle islaam jaaiz tor par hazraate shohdaye karbarala Rizwaanul’laahe Ta’Aala Alayhim ki Arwaahe tayyiba ki isaale sawab ki Sa’Aadat par ikhtisaar karte toh kis qadar khoob wa mehboob wa pasandeeda tha or agar najre shoqe mohabbat me naqle rozaye anwar ki bhi haajat thi toh usi kadar jaaiz par qana’At karte ke Sahi naqal (Same to Same) bagarze tabarruk wa jiyarat apne makano me rakhte or Ishaate gum wa banawati takleef or Nohajani (Chhati Pitna) wa maatam kuni (matam karna) wa digar Umoore Shanaiyya (Bure Kaam kaaj) wa bid’aate kataiyya (Jis ka bid’at ka bura hona shari’at se sabit ho) se bachte is qadar me bhi koi harj na tha. Magar ab us naqal me bhi Aehle bid’at se ek mushabehat or taaziya daari ki tohmat ka khadsa (Andesha) or Aayinda apni Aulad ya Aqeedat mando ka bid’ato khuraafat me mubtala hone ka andesha hai hadees sharif me aaya hai.
Tarjuma:Tohmat ki jagoh se bacho or dusri hadees me aaya hai jo Allah or qayamat k din par imaan rakhta hai use chahiye ke wo tohmat ki jagoh se ruka rahe.
Lihaaza Rozaaye Aqdas Huzoor Shayados Shohda Radi’Allaho Ta’Aala Anho ki aesi tasveer bhi naa banaye balke sirf kagaj k sahi naqse par kana’at (sabar) kare or use ba’kasde (tabarruk ki niyat) buri bid’ato khurafaat wa rasmo ke milaaye apne paas rakhe. Jis tarah harmain sharifain (makka or madina) se kaabaye Mo’Azzama rozaye Aaliya k naqse aate hai ya dalailul khairaat sharif me ba-barkat kabro ke naqse likhe hai.
Or tehrir farmaate hai Taziyaa Mamno’u hai shariyat me kuch asal nahi or jo kuch bid’aat unke sath ki jaati hai sakht nazaaij hai.Taaziya par jo mithaai chadayi jaati hai agarche haraam nahi ho jaati magar us ke khaane me jaahilo ki najar me ek naajaiz kaam ko badhava dena hai. Or uske tark me nafrat dilaani hai lihaaja na khaayi jaaye. Dhool bajana Haram hai. (1) Taaziya ki taazeem bid’at hai. (2) Taaziya banana najaaiz hai. (3)
Hawala:-1. Fatawaye Razviya Jild 10. Page. N. 189.
2. Fatawaye Razviya Jild 3. Page. N. 258.
3. Fatawaye Razviya Jild 6. Page. N. 186.
Hazrate Sadrus’shariya Allama Amjad Ali shab Alhirramato Warrizwaan (Musannef Bahare-Shariyat)
Taziya daari k waqiyaat karbala k silsile me tarah tarah ke dhaanche (saqle)banate or unko Hazrate Sayyadina Imam Hussain Radi’Allaho Ta’Aala Anho ke rozaye paak ki shabi kehte hai (tasveer) kahi takht banaye jaate hai or Alam or julus nikaale jaate hai dhool taashe or qism qism k baaje bajaye jaate hai. Taaziya ko bahut dhoom dham se gasht hota hai Aage piche hone me jahiliyat jaise jhagde hote hai kabhi darakht ki shaakhe kaati jaati hai, kahi chabutare khudwaaye jaate hai, taaziyo se mannate maani jaati hai, sone chandi k Alam (jhande) chadaye jaate hai, Haar, fool, nariyal chadaye jaate hai, waha jute pehan kar jaane ko gunah jaante hai balke is shiddat se mana karte hai k gunah par bhi aisi gumaniyat nahi karte, chhatri lagane ko bahut bura jaante hai, taaziyo k andar 2 banawati kabre banate hai ek par sabj Gilaaf (Hari chadar) or dusri par surkh Gilaaf daalte hai (laal chadar) sabj ghilaaf wali ko Hazrate Sayyedina Imam Hasan Radi’Allaho Ta’Aala An’ho ki kabr or surkh Gilaaf wali ko Hazrate Sayyedina Imam Hussain Radi’Allaho Ta’Aala An’ho ki kabr ya shabiye kabr batate hai or waha sharbat maalida wagairah par fatihaa dilate hai ye tasswur kar ke… ke Hazrate Imam Aali Maqam k roza or Mawajaye Aqdas me fatiha dila rhe hai.
Fir ye taziye 10v tarikh ko banawati karbala me le ja kar dafn karte hai goya ye janaza tha jise dafn kar Aaye. Fir tija, 10va, 40va, sab kuch kiya jaata hai or har ek khurafaat par mushtameel hota hai. Hazrate Qasim Radi’Allaho Ta’Aala Anho ki mehndi nikaalte hai goya unki shadi ho rhi hai or mehndi rachayi jayegi or Aisi taaziya daari ki silsile me koi Beroopiya banta hai jis ki kamar se ghungharo bandhe hote hai goya ye Hazrate Imame Aali Maqam ka kaasid or harkaara (Daakiya/Postman) hai jo yaha se khat le kar ibne jiyaad ya yazeed k paas jayega or wo harkaaro ki tarah bhaga firta hai. Kisi bacche ko faqeer banaya jaata hai us k gale me jhooli daalte hai or ghar ghar bheek mangwaate hai koi Sikka (Paani pilaane wala)banaya jaata hai chhoti Si Mashk us k kandhe se latakti hai goya ye dariyaaye furaat se paani bhar laayega. Kisi Alam par mashk (Mashkija) latakti hai or us par teer laga hota hai goya ke ye Hazrate Abbas Alam daar hai ye furaat se paani la rhe hai or yazeediyo ne mashk ko teer se chhed diya hai Aisi qism ki bahut Si baate ki jaati hai ye sab lagav (bekar, faltu) wa khurafat hai inse hargiz Sayyadina Imam Hussain Radi’Allaho Ta’Aala Anho khush nahi. Ye tum khud gor karo ke unhone deeno sunnat ko jinda karne ke liye ye jabardast qurbaaniya pesh ki or tumne Maz’Allah us ko bid’Aat ka jariya bana liya.
Baaz jagah kisi taaziya daari ke silsile me Buraaq banaya jaata hai jo Ajab qism ka muzassama hota hai ke kuch hissa insaani saqal ka hota hai or kuch hissa janwar jaisa. Shayad ye hazrate Imame Hussain Radi’Allaho Ta’Aala Anho ki sawari ke liye ek janwar hoga.Kahi daldal banta hai kahi badi badi kabre banti hai baaj jagah aadmi bhalu, Bandar, langur bante hai or kudte firte hai jinko islam to islam insaani tehzib bhi jaaiz nahi rakhti. Aesi buri harkat islam hargiz jaaiz nahi rakhta. Afsos ke muhabbate Aehle bait-e-kiraam ka dava or Aesi bejaa harkate.Ye waqia tumhare liye naseehat tha or tumne isko khel tamasha bana liya.
Aisi silsile me noha wa matam bhi hota hai or seena kobhi (seena pitna) hoti hai itne jor jor se sinaa ko kut’te hai ke varm (Sujan)ho jata hai. Sina surkh ho jata hai balke Ba’Az janjiro or chhoriyo se matam karte hai ke sine se khoon behne lagta hai taaziyo ke paas marsiya padha jata hai or taaziya jab gasht ko nikalta hai us waqt bhi us ke Aage marsiya padha jaata hai. Marsiya me galat waqiyaat nazm kiye jaate hai. Aehle Baite Kiraam ki be’hurrmati or be’sabri Jaza Faza (khofo dar) ka jikr kiya jaata hai or isliye aksar marsiya rafziyo ke hi hai. Baaj me tabarra bhi hota hai magar is rah me sunni bhi be’takalluf pad jaata hai or unhe iska khayal bhi nahi hota hai ke kya padh rhe hai ye sab naajaiz or gunah ke kaam hai.
Bahare Shariyat Jild N. 16 Page N. 247,248
NOTE: Ye Unwaan Khutbaate Muharram Page N. 464 se 469 tak Se Likha Gaya Hai. Jo Faqiye Millat Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Alehi Rehma ki tasneef hai.