Agar Janwar Mushtarik Hai To Gosht Taul Kar Taqseem Kiya Jaye Utkal Se Na Baate'n Ke Agar Kisi Ko Zyada Pohach Gaya To Dusre Ke Mu'af Karne Se Bhi Jaaiz1 Na Hoga Ke Haq Sharaa Hai.
(📓Rudul Muhtar -O- Bahar)
Phir Apne Hisse Ke Teen(3) Hisse Karke Ek Hissah Faqiro'n Ko Dede'n Aur Ek Hissah Dosto'n Ko Aur Azeezo'n Ko De. Aur Ek Hissah Apne Ghar Walo'n Ke Liye Rakhe Khud Bhi Khaye Baal Baccho'n Ko Bhi Khilaye Agar Ghar Wale Zyada Hoto Kul Ghar Ke Sarf Main La-Sakta Hai. Aur Kul Sadqa Bhi Kar Sakta Hai Agarche Ek Hissah Apne Liye Behtar Hai.
Mas'alah: Agar Mayyat Ki Taraf Se Qurbani Ki To Uske Gosht Ka Bhi Yahi Hukm Hai. Albatta Agar Mayyat Ne Kaha Tha Ke Meri Taraf Se Qurbai Kar Dena To Is Surath Main Kul Gosht Sadqa Karde.
Mas'alah: Qurbani Agar Mayyat Ki Hai To Uska Gosht Na Khud Kha Sakta Hai Na Gani Ko Khila Sakta Hai Balke Usko Sadqa Kar Dena Wajib Hai.
Mas'alah: Qurbani Karne Wala Baqra-Eid Ke Din Sab Se Pehle Qurbani Ka Gosht Khaye Ye Mustahab Hai.
(📓Behrul Raa'yiq)
Mas'alah: Qurbani Ka Gosht Kafir Ko Na De (Ke Yaha'n Ke Kuffar Harbi Hai).
Mas'alah: Chamda , Jhoul , Rassi , Haar , Sab Sadqa Karde Chamde Ko Khud Apne Kaam Main Bhi La-Sakta Hai.
Maslan :Doul Ja-Namaz Bichona Waghera Bana Sakta Hai Lekin Bech Kar Qimat Apne Kaam Main Lana Jaaiz Nahi Agar Bech Diya To Us Qimat Ko Sadqa Karna Wajib Hai.
(📓Durre Mukhtar -O-Rudul Muhtar)
Mas'alah: Aaj Kal Aksar Log Khaal Dini Madrasa Main Diya Karte Hai Ye Jaaiz Hai Agar Madrasa Main Dene Ki Niyyat Se Khaal Bech Kar Qiamat Madrasa Main Dede'n To Ye Bhi Jaaiz Hai.
(📓AalamGiri-O-Bahar)
Mas'alah: Qurbani Ka Gosht Ya Chamda Qasaab Ya Zibah Karne Wale Ko Mazduri Main Nahi De Sakta Haan Agar Dosto'n Ki Tarah Hadyatan Hissa Diya To De Sakta Hai Jabke Use Ujrat Main Shumar Na Kare.
(📓Hidaya Waghera)
Mas'alah: Ba'z Jaga Qurbani Ka Chamda Masjid Ke Imam Ko Dete Hai Agar Tankhwa Main Na Diya Jaye Balke Bataure Madad Ke De'n To Harj Nahi.
(📓Bahar Waghera)
(📓Ref>>> Qanoon-E-Shari'at)
●Note:- Shari'at Ke Mutabiq Zibah Kiye Huwe Halaal Janwar Ke Mandarjazail Aaza Khane Mana Hain.
Dum Masfookh (Zibah Ke Waqt Behne Wala Khoon) ,
Zakar (Nar Janwar Ka Aala-E- Tanasul) ,
Gaay , Bakri Ke Peshaab Ki Jaga (Farj) ,
Khasitain (Kapure)
Masana , Dubar (Janwar Ke Pakhane Ki Jaga) ,
Haraam Magraz , Ojhdi Aur Aante'n In Main Dume Masfooh Haraam Qatayi Aur Qurbani Makruhe Tehreemi Hai.