QURBANI KA WAQT


Hazrat Jundub Bin Sufyaan RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se Riwayat Hai Ke Hamne RasoolAllah ﷺ 
Ke Sath Qurbani Ki. So Kuch Logo Ne Namaz Se Pehle Hi Qurbaniyaa'n Karli. Huzoor ﷺ Ne Jab Unko Dekha To Farmaya Jisne Namaz Se Pehle Qurbani Karli Usko Dubara Qurbani Dena Hogi.
(📓Nisaayi, Al-Sunan)

10vi Zil_Hajjah Ki Subah Sadiq Se 12vi Ke Ghuroob Aaftaab Tak Hai. Yaani 3-Din Aur 2-Raate'n Lekin 10vi Sab Main Afzal Hai Phir 11vi Phir 12vi. 

Mas'alah: Shahar Main Qurbani Ki Jaye To Shart Ye Hai Ke Namaze Eid Ke Ba'd Ho Aur Dihaat Main Chunke Namaze Eid Nahi Isliye Subah Sadiq Se Ho Sakti Hai.


Mas'alah: Qurbani Ke Waqt Main Qurbani Hi Karni Laazim Hai Itni Qimat Ya Itni Qimat Ka Janwar Sadqa Karne Se Wajib Ada Na Hoga.
(📓AalamGir) 


Mas'alah: Qurbani Ke Din Guzar Jane Ke Ba'd Qurbani Faut Hogi Ab Nahi Hosakti 
Lihaza Agar Koyi Janwar Qurbani Ke Liye Khareed Rakha Hai To Usko Sadqa Kare Warna Ek Bakri Ki Qimat Sadqa Kare.
(📓Durre Mukhtar)