Qur'aan Majeed Aur Ahadees-e-Mubarak Se Qurbani Ke Fazail


Allah Ta'Aala Ne Hazrat Ibraheem Alaihissalam Aur Hazrat Ismail Alaihissalam Ke Waqi'a Qurbani Ko Apne Kalame Paak Main Is Andaaz Se Bayaan Farmaya Hai.

Elaahi Mujhe Laayiq Aulaad De ,
To Hamne Use Khush Khabri Sunayi Ek Aqal'Mand Ladke Ki ,
Phir Jab Wo Uske Sath Kam Ke Qabil Hogaya...
Kaha Ae Mere Bete Main Ne Khwab Dekha.
Main Tujhe Zibah Karta Hon. Ab To Dekh Teri Kya Ray Hai. Kaha Ae Mere Baap Ki Jaise Jis Baat Ka Aapko Hukm Hota Hai , Khuda Ne Chaha To Qareeb Hai Ke Aap Mujhe Sabir Payege,
To Jab In Duno Ne Hamare Hukm Par Gardan Rakhi Aur Baap Ne Bete Ko Maathe Ke Bal Litaya Us Waqt Ka Haal Na Poch,
Aur Hamne Use Nida Farmayi Ke Ae Ibraheem ,
Beshak Tune Khwab Sach Kar Dikhaya Ham Aisa Hi Sila Dete Hain Neko'n Ko ,
Beshak Ye Roshan Jaanch Thi,
Aur Hamne Ek Bada Zabiha Iske Fidya Main De Kar Use Bachaliya,
Aur Ham Ne Pichlo'n Main Uski Taareef Baqi Rakhi,
Salaam Ho Ibraheem Par.

(Sure Al-Saaffaat , Ayat:100 to 109 , Kanzul Eemaan)


• Hazrat Zaid Bin Arqam RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Farmaya Huzoor Alaihissalato Wassalam Ke Sahaba Ne Arz Kiya Ke Yaa RasoolAllah !
Ye Qurbaaniya'n Kya Hain..??
Aapn Ne Farmaya Ye Tumhare Baap Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ki Sunnat Hain.
Sahaba Ne Arz Kiya... Yaa RasoolAllah !
Kya Isse Hamko Sawaab Milega..??
Farmaya Har Baal Ke Badle Ek Neki Hai..
Arz Kiya Aur Oon Yaa RasoolAllah !
To Aapne Farmaya Ke Oon Ke Har Baal Main Bhi Ek Neki Milegi.
(๐Ÿ“™Ahmad , Ibne Maaja)

• Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta'Aala Anha Ne Kaha Ke Rasule Kareem Alaihissalato Wassalam Ne Farmaya Ke
Qurbaani Ke Ayyam Main Ibne Aadam Ka Koyi Amal Khuda-E-Ta'Aala Ke Nazdeek Khoon Bahane (Yaani Qurbaani Karne) Se Zyada Pyara Nahi.
Aur Wo Janwar Qayamat Ke Din Apne Singo'n Baalo'n Khuro'n Ke Sath Aayega Aur Qurbaani Ka Khoon Zameen Par Girne Se Qabl Khuda-E- Ta'Aala Ke Nazdeek Maqame Qubool Main Pahoch Jata Hai.
(๐Ÿ“™Tirmazi , Ibne Maaja)

• Hazrat Khash RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Farmaya Ke Main Ne Hazrat Ali Karamallahu Wajahu Ko Du(2) Dumbe Zibah Karte Huwe Dekha Main Ne Pocha Ye Kya Hai..?
Unhone Farmaya Ke Huzoor Alaihissalato Wassalam Ne Mujhe Wasiyat Farmayi Hai Ke Main Huzoor Ki Janib Se Qurbaani Kiya Karo'n To Main (Dusra Dumba Huzoor Ki Janib Se) Qurbaani Kar Raha Hon.
(๐Ÿ“™Abu Dawood)

• Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Kaha Ke Huzoor Alaihissalato Wasalam Ne Farmaya Ke Jis Main Us'at Ho Aur Qurbani Na Kare To Wo Hamari Eid'Gah Ke Qareeb Hargiz Na Aaye.
(๐Ÿ“™Ibne Maja)

• Hazrat Umme Salma RadiyAllahu Ta'Aala Anha Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem Alaihissalat Wa Tasleem Ne Farmaya Ke Jab Tum Baqra'Eid Ka Chand Dekho Aur Tum Main Ka Koyi Qurbani Karna Chahe To Usko Chahiye Ke Baal Mundwane , Tarshawane Aur Nakhun Katwane Se Ruka Rahe.
(๐Ÿ“™Muslim)
(๐Ÿ“™Ref>> Anwarul Hadees , S-361 to 362)